Hello Friends, Aaj humara article wordpress platform me post ya page ke content me image ko kaise lagaye ke baare me, jaisa ki mene pichale post me btaya tha ki post ya page ko kaise create kare or title or contents kaise likhe janne ke liye aap visit kare. image/multimedia jaise file kyo add kare apne post me? isliye ki jab visitors/users apke website/blog me ayega toh pahala impression image ka hoga agar aapne images valuable daali hai or contents bhi apne valuable likha hai toh visitor par acha impression padta hai or users apke website par daily visit karta rahata hai.
Images or videos unique add kare jisse visitors ko akarshak or interest aye or jyada se jyada apne blog/website me time bitaye. aap agar wordpress par ho toh apke liye bahut easy hai or steps ko fllow karoge toh apko pataa chal jayega ki kitna saral hai upload or add karanaa. niche steps diye gaye hai follow kare.
Images or videos unique add kare jisse visitors ko akarshak or interest aye or jyada se jyada apne blog/website me time bitaye. aap agar wordpress par ho toh apke liye bahut easy hai or steps ko fllow karoge toh apko pataa chal jayega ki kitna saral hai upload or add karanaa. niche steps diye gaye hai follow kare.
Add Images / Multimedia within Your Posts in Hindi:
- Start karte hai, jab new page/post banaate hai toh edit post me apko "Add Media" name ka button milega us par click kare.
- Iske baad ek pop up box appear hoga usme "Uploads Files" Tabs me apko "Drop files anywhere to upload" likha milega uske niche hi "Select Files" button milega us par click kare or apne local disk se image upload kar le.
- Upload complete hone ke baad. apko image dikh jayegi usko image ko select kar ke title, caption, alt text etc... content related description de kyoki ye primary keywords hote hai jo seo optimize karne me madad karte hai. agar samaj nahi aya ho toh image me mene likha hai example ke tor par.
- Next, image ko specific jagah me lgane ke baare me sochne ki jarurat hai ki apne post me ye kaha show kiya jaye.
- Alignment - Images ko ek nichit jagah par lagaaye jaise ki left, center, right. har post me alag-alag image ki jagah change/move kar sakte hai.
- Link - Agar aap chahate hai ki image par click kare toh ek alag page/post me jaye toh ye kar sakte hai or koi bhi link de sakte other website me jane ke liye.
- Size - Aap post/page me image ki size ko smallest, small, large, largest kar sakte hai.
- Ye sabh karne ke baad, "Insert into Post" par click kare or image add ho jayegi post me.
- Post/Page ko "publish" ya "update" karane ke baad apko apne website/blog par contents ke sath image bhi show hone lagegi.
No comments:
Post a Comment