Tuesday 16 August 2016

Backlinks Ke Advantages Se SEO Strong Kaise Hota Hai

Backlinks Ke Advantages Se SEO Strong Kaise Hota Hai
Backlinks ke baare me humne pahale hi ek article banaa diya hai. ki actual backlink kya hota hai or SEO ko kaise build karta hai ye btaya tha. Aaj hum backlinks ke advantages ke baare me baat karenge. par pahale me kuch important baat bata deta hu kyoki jyada tar log backlinks ko generate kar toh lete hai par toh bhi ranking me koi fark nahi aata hai wo kyu? wo isliye log low quality backlinks ko build karte hai pahale toh low quality se bhi ranking me fark aata tha par jabh se google ne penguin algorithm ko roll out kiya hai tabse problem start ho gayi hai. apko abh high quality backlinks ko hi generate karana hoga warna site ki ranking me koi tarah ki help nahi milegi.
Website/blog Seo ke liye backlinks hona bahut jaruri hai kyoki backlinks apki site ki popularty badata hai or site ki value ko bhi increase karta hai. yaha tak ki jitni jyada backlinks apke site ki hogi utani jyada site ko traffic milegi. or sath hi backlinks jyada hone se search engines se bhi achi ranking milegi or organic traffic bhi milegi. backlinks seo ko strongest karta hai jisse site ko achi SERP (Search Engine Result Pages) milati hai. chaliye niche humne backlinks ke advantages ko point kiya hai usse bhi dekh lete hai.

The Advantages Of SEO Backlinks

  1. Continuously Improving Organic Ranking
  2. Organic Ranking - Build SEO
    Pahali baat ye Organic Traffic hota kya? organic traffic wo hota hai jo search engines ( i.e. Google, Yahoo, Bing, Baidu, AOL, Ask, DuckDuckGo etc...) se aane wali traffic apke ko hi organic traffic kahate hai. Or jab aapki site ko dusre sites se backlinks milta hai to search engine un sito ke search result ke sath aapki site ko bhi search me improve karta hai. isse achi organic search ranking milti hai or nirantar ranking me badlaw aata hai. (i.e. agar aapki site ko hindimetopics se backlinks mile toh search engine me aapki site bhi hindimetopics ke result me ayegi. isse aapki website/blog ki ranking me farak ayega or traffic bhi kuch aadh tak bad jayegi.)
  3. Search Engines Fast Indexing Our Site
    Search Engines Fast Indexing Our Site
  4. Jab Aap koi bhi post likh rahe ho toh aap us post me contents daalte ho or kuch links bhi add karte ho or aap us post ko publish karte ho. uske baad search engines ke robots apke post ko dekhta hai or puri tarah scan karta hai ki ye post kis bare me hai. search engines ka robot review pura karane ke baad apke post ko index kar dega. fir jab search engine me related content ke search term milenge toh usme apki website bhi show hogi. indexing ke liye apko backlinks ki jarurat hogi yadi apki site new hai toh apko kuch high quality site (facebook, pinterest, google+ etc... ) me bhi post karana hoga isse fast search indexing hogi.
  5. Increase Referral Traffic
    Increase Referral Traffic
  6. Referral Traffic ka sabse bada fayda hai ki koi other site apki site ko link karta hai toh usse backlinks milti hai or dusri sites se relation banati hai or apko unse direct traffic bhi milti hai. (i.e. samaj lo yousite.com/post-link.html par apki site ki link lagi hai users dwara us link par click hoga toh apko uska referral url milega jisse apki backlinks bhi milegi.) search engine referral traffic ko pasand karta hai or un sito ko fastly ranking me increase bhi karta hai.
  7. Alexa Ranking Improve
    Alexa Ranking Improve
  8. Site ke liye alexa ranking bahut jaruri hai kyoki alexa apki site ki opsition btata hai ki aap kis position par ho. or backlinks se alexa ranking badhti hai uske hisabh se site ki bhi value badhti hai. alexa apki website ki position or metric btati hai ki aap pahale kitne rank par the or ab kitne rank par ho. or ye bhi btati hai ki apke website me kitne website se link judi hai usse backlinks kahate hai.

Final Words - Backlinks Building Top Tips

Agar apko backlinks badani hai toh aap dusri websites par comments karana suru kar de par dyaan rahe jaha aap comment kar rahe hai wo website high quality honi chahiye. or web-directories me apni website ki url ko submit kare. question-awnser forums me apne website ka review daale us forum me logo ki help kare jisse achi traffic mil sake.
Asha hai ki apko humara article jarur pasand aya hoga or ache se samaj bhi aya hoga agar apko koi problem aati hai ya fir koi topic samaj nahi aya ho toh aap hume comment kar sakte hai apka comment ka jarur jwab milega. humare article ko like, share jarur kijiyega or aap hume follow bhi kar sakte hai Google+, Facebook, Pinterest, Twitter etc... Par.
Take Care & Enjoy !!!

Monday 15 August 2016

Backlink Kya Hai : SEO Ke Liye Jaruri Kyo Hota Hai

Backlink Kya Hai - SEO Ke Liye Jaruri Kyo Hota Hai
Backlink ek bahut popular word hai jo SEO (search engine optimization) ke liye bahut jaruri hota hai. bahut se blogger jo abhi-abhi website/blog start kiya hai. defiantly jarur search karte honge SEO ke baare me ussi ke sath apne ek or naam suna hoga "backlink" yah actual hai kya ye hum btayenge or ye kaam kaise karta hai or ye SEO ko stronge kaise banata hai ye bhi hum padenge.
Backlinks banane se search engine result se achi ranking paa sakte hai. agar aap achi ranking pana chahate hai toh backlink banaye or usko ko follow kare search engine ko wo hi blogger pasand aate hai jinki achi (pet) goodwill ho (ie - ek tarah se charo aur se chaya huwa ho charchit inshan ho uske website/blog ke baare me har koi baat karta ho etc...)

Actually Backlinks Hai Kya Seo me improve kaise hota hai

Backlink Chart By HindiMeTopics - BackLinks
Backlink ka chart se aap ache se samaj paoge. isliye samjane ke liye mene upar image daali hai. backlink wo hota hai jo other website apne web pages me apke website ko link karta ho matlab ki article me apki bhi website ki link di ho wo external link kaha layegi. ek or tarike se btata hu jaise ki meri website hai mene apki website ko link kiya hai or users dwara us link par visit karega toh apko meri website ki backlink milegi. isi tarah backlink aapki site par kitni dusri sites se visitors aate hai wo aapki site ki backlinks hoti hai.
Backlink major metric hai jo apke webpage ki ranking me improvement karta hai. or search engines me higher ranking dilwata hai. yah sabh se badaa factor hai jo seo (Search Engine Optimization) ko build karta hai. backlinks aapke site ke liye bahut faydemand rahega. apki site ke jitne jyada backlinks honge google apki site ko search result me utni hi jyada value dega. par google apke site ko tabhi value dega jabh apke backlinks (Good - achi) high quality ke baclinks honge.

Kitne Type Ki Backlinks Hoti Hai Or Kyo Important Hoti Hai

Anchor Text Chart HindiMeTopics - Backlinks
  • Anchor Text - Yah Clickable text hota hai jo hyperlink ke rup me dekha jata hai. anchor text apne page/post me re-linking kiya jata hai jaise ki text me blue color ki under-linked anchor text most commonly dekha jata hai. ha ye baat bhi hai aap chaho toh text ka color badal sakte ho. yah ek best seo practices hai jisse search engines me acha impact padta hai.
    Link Juice Chart | Backlinks
  • Link Juice - Jabh Aap apne web page me link add karte ho other posts/pages ko or apne site ke homepage ko toh yah link juice method kaha layega. link juice help karta hai apne other post/page ko ranking me laane ki or isse DA (domain authority) bhi improve hota hai. agar aap nahi chahate refer karana toh aap link ko stop passing kar sakte hai simple sa nofollow tag laga ke.
    Internal Links Chart By HindMeTopics (Backlinks)
  • Internal Links - Hum jabh apne hi website ke other posts/pages ko add karte hai hai toh usse internal link kahate hai. jaise ki apne dekha hoga ki bahut se blogger post me links ko add karte hai apne dusre post ke link ko. kyoki wo ye bhi chahate hai ki aap iske baare me bhi pade jankari le. isse post ki seo bhi achi banti hai.
    Do Follow Links - Backlinks
  • Do-Follow Links - Do Follow ka koi tag nahi hota ( Yah By Default Tag Hi Hota Hai i.e. <a href="http://www.yoursite.com">Your Site</a> ) do follow ki madad se juice pass kar sakte hai. isse backlinks milti hai or apke site ke page/post ki ranking bhi achi aati hai.
    No Follow Links - Backlinks
  • No-Follow Links - Agar aap chahate hai ki dusri sites ko meri link ki juice pass nahi karani hai toh aap no-follow link add kare. iska tag hai jo is type ka hai ( i.e. <a href="http://www.othersite.com" rel="nofollow">other site</a> ) ye bhi backlinks hote hai jo link pass karane ko allow nahi karte hai. agar apko koi other site ko add karane ki jarurat pad jati hai or wo site sahi nahi hai matlab ki unreliable hai toh aap no-follow tag ka use kare. or iss tag se aap webmasters ko bhi mana karte ho ki is link ko follow na kare or page rank transfer bhi nahi kare.
    Low-Quality Links - Backlinks
  • Low-Quality Links - Harmful sites, spam sites or 18+ sites, automacted sites se aane wale links low quality hoti hai. inse humari seo low ho jati hai. agar aap blacklinks purchase karte ho toh thoda careful rahe. kyoki aane wale visitor apke site ko hani pahucha sakte hai (adsense jaise networks se jude ho toh dyaan se backlinks ko buy kijiye warna mat kijiye.)
Asha hai ki apko is post se backlinks ki basic information mili hogi. or ache se backlinks ke bare me janne me koi problem nahi ayi hogi. agar apko kahi ya koi point samaj nahi aya toh aap hume comment kare hum apke comment ka jarur jwab denge. agar apko humara article pasand aya ho toh please share, link karana na bhule aap hume follow bhi kar sakte hai Google+, Facebook, Twitter, Pinterest etc...

TakeCare & Enjoy !!!

Sunday 14 August 2016

Search Engine Optimizer Mistakes Na Kare | 8 Valuable Tips

Search Engine Optimizer Mistakes Na Kare  8 Valuable Tips
Yadi apke paas website/blog hai toh apko ye bhi pta hoga ki traffic important kyo hai. traffic internet marketing place ki tarah hai aap apne website/blog ko monetize kar ke paise kama sakte ho. par agar aap website me visitors ko generate nahi kar paa rahe ho toh apko white hat seo ka upayog karana hoga. essi hi pareshani blogger ke liye aati hai jo apne website/blog me visitor nahi aate hai toh ve black hat seo kaam me lete hai jisse achi search result ranking payi jati hai.
Badakismati se, bahut se website ke owners ye samaj nahi paate ki search engine me visibility kaise laye, or search engine me lead kaise kare. important baat yah hai ki apki website ko "pretty" banao na ki bekar. yah vaastav me secondary formula hai search engine placement ka. usually owner ko website ki designing par dyaan dena chahiye jisse traffic drive achi se ho sake or ek or baat itani designing na karo ki website load bahut le lee. of course, tum advertising ke liye bhi website ko teyar kar sakte ho agar aap achi traffic generate kar rahe ho toh.
Chaliye point par aata hu asha hai ki aap humare list ke common mistakes ko follow karenge. inko ignore kare or inse bache. kadi mahanet kare jisse aap layak ban sako us position ke liye search engine apko jarur achi position dega.

Search Engine Mistakes to Avoid in hindi

  1. Not Using Popular & Effective Keywords - aap bahut achi mahanet kar rahe ho valuable information ko likhane me or achi design bhi hai site ki. toh bhi apki website me traffic jyada nahi aati wo karan ye hai ki aap ignore/mistake kar rahe ho sahi (right) keywords ko jo customers dwaraa search kiya jata hai. aapne sabh sahi se kiya par apko keywords par bhi dyaan dena chahiye ki konsa keywords se log aate hai or konsa keywords jyada popular hai.
  2. Repeating the same keywordsJabh aap article/post me bar-bar keywords ko reapeat karate ho toh usse (keyword stacking) kaha jata hai. yaha users ko pasand nahi hota ki aap ek hi baat ko repeat karte raho or search engines bhi apko ranking me down/niche kar sakti hai or ho sakta hai apke website ko skip hi kar de.
  3. Related keywords of your website to not to use - Kayi anaitik tarike se website ko search engine me visibility karwaya jata hai. jaise ki esse keywords ko kaam me lena jo jyada users dwaraa search kiya jata hai or jo apki website us keywords ke related hai hi nahi. unrelated keywords pages me daalna (like - sex) or celebrity jaise keywords ko dalana, esse keywords jo kabhi outdated hote hi nahi hai. lakin, yaha keyword bahut jyada popular bhi hai. or ve log sochate hai isse boost hogi visibility me par essa nahi hai. yah mistak aap par bari bad sakti hai agar aap yah technique use karte ho toh search engines apko detect kar lega or spam ka karan deke apko search engine list me se removed kar dega or ho sakta hai apke uppar dmca complaint bhi lag jaye isliye essa na kare inko ignore kare.
  4. Keyword Stuffing - aap thoda confuse ho gaye honge (keyword stacking or keyword stuffing me) par me btata hu keyword stuffing ka matlab yah hai ki content me keyword ko jyada-se-jyada likna jaise ki title, description, content me bar-bar keyword ko use karana, images, h1, h2 soon on... yah ek tarah ki spam practice hai inse bache or konsis kare ki kam hi keyword ko use kare pure article me 4%-10% tak hi.
  5. Relying on hidden text - website me article ke undar keywords or keywords phrases ko add kiye jate hai. par yah users ko nahi dikhate means hidden text hote hai jo sirf search engine ke liye kiye jate hai. jisse search engine us search term me add kare or website ko us term me visibile kare. ha yah aaj bhi kaam karta hai jaise ki page ke background me dalna or text ka color change karana background ke color se match karana etc... par yah stuf nahi karana chahiye. users hurt ho sakte hai or apke website ko jaldi-se-jaldi close kar sakte hai isse apke website ka bura impression padega bounce rates bad jayegi search engine apko result me niche kar denge.
  6. Relying on tiny textHidden text ka hi second version hai. agar text ko hidden nahi karte toh second method kaam liya jata hai. text ki size ko choti (tiny size) kar di jaati hai. jo dekhane me bahut choti or jagah bhi kam leti hai. asani se dekha bhi nahi jata hai. ye try na kare inse bache or ignore kare.
  7. Robbing pages from other websites - aam baat hai aaj bhi ki dusre ki website se materials ( like - styles, contents, icons etc...) ko copy karana or apni website me dalna bahut easily hai :) dusro ke work ko copy na kare wo apke uppar claim bhi kar sakta hai. or search engines bhi very smart hai aram se duplication pages ko detect kar leta hai toh aap apna time waste na kare. inko ignore kare apna kuch likhe apni service de na ki kisi ki copy work kare.
  8. Forgetting to check for missing web page elements - Dyaan rahe page/post ko publish karane se pahale ek baar pura check kar le yah dekh le (like - completeness, missing links, graphics etc...) isko ignore na kare. user ko essa na lage ki apne aduri jaankari di hai.

Final Words

Yah kuch methods & techniques hai inko avoid karana chahiye. agar aap essa karte hai toh apke website ko harmful hoga. or search engines apki site ko banned bhi kar sakta hai ha ye baat hai ki kuch samaye me hi achi ranking pakadi jaa sakti hai or traffic bhi increase hoti hai. par aap try na kare or in techniques ko ignore kare.

    Wordpress Themes Kaise Install Kare

    Hey Dosto, Aaj iss article ke jariye se hum janenge ki wordpress me themes ko kaise install karte hai. jo users first time wordpress platform par aaye hai unke liye ye article madad gaar sabit hoga. me aaj 2-methods btaunga jisse aap apne wordpress blog/website ke themes ko badal (change) kar sakte ho. apko bataa du ki iske liye koi other skill ki jarurat nahi hai jaise ki (like: html, css, php, sql, other coding etc...) agar aapko coding nahi aati toh koi baat nahi kyoki aaj-kal wordpress official themes bhi mil jati hai or wordpress premium themes bhi mil jati hai.
    WordPress blog/website design or manage karanaa bahut easy ho gya hai kyoki inke themes or plugin apko google par mil jayenge free/premium dono tarah ke dikh jayenge. pahali baat apko ye tay karana hoga ki muje konsi category ki themes chahiye like - tech, gym, health, news etc... ye select hone ke baad apko ye dyaan rakhanaa hoga ki theme jyada load time na khaye or dekhane me clear bhi ho yaha tak ki design essi ho jisse aap or users dono ko pasand aa jaye kyoki visitor ko acha impression dena bahut jaruri hai or help karana bhi jitna jyada apka presentation acha hoga visitor apke website me jyada-se-jyada time bitayega or sath-hi-sath visitor increase bhi honge. Chaliye me point par aata hu niche mene two-methods diye hai wordpress ke themes install karane ke follow kare.

    Wordpress Me Theme Directory Me Se Official Theme Kaise Install Kare:

    Ye method bahut aasaan hai jisse wordpress theme ko install kiya jaa sakta hai. simply apko search bar ka fucation ko kaam me lena hai or apni best theme ko dundna hai wo kaise niche steps ko follow kare.
    1. Dashboard me "Appearance" option milega uss par click kare >> "Themes" par click kare >> fir top-right-side "search bar" milega usme apna theme name search kare nahi toh aap filter bhi kar sakte hai menu bar me "Feature Filter" milega uss par click kare.
    2. How-to-Install-WordPress-Themes-1
      How-to-Install-WordPress-Themes-2
    3. Fir apko category lists milegi usme bahut saare section ke name honge apko apne section ko select karana hai or apply karana hai. Fir, apko koi bhi apne pasand ki ek theme install karani hai "Install" button par click kar ke.
    4. How-to-Install-WordPress-Themes-3
    5. Fir Apko ek new page appear hoga jisme "Activate" namak link milegi us par click karana hai. activate hone ke baad apke blog/website me theme apply ho jayegi.
    6. How-to-Install-WordPress-Themes-4
      How-to-Install-WordPress-Themes-5

    Downloaded WordPress Theme Ko Kaise Install Kare:

    Yah dusra rasta hai jisse aap apne wordpress blog par theme lagaa sakte hai free/premium dono hi install ho jayenge. agar apke paas purchase ki huwi theme hai apne computer me or agar apke paas free theme hai apne computer me toh aap upload kar ke wordpress blog par lagaa sakte ho. dyaan rahe ki jo theme ki file hoti hai wo ".zip" file me honi chahiye.
    1. Right-Side Dashboard panel me Appearance >> Themes >> Install Themes me jana hai. top me "Upload" naamak link milega uss par click kare.
    2. How-to-Install-WordPress-Themes-6
    3. Fir "Choose File" button par click kare, or apne wordpress theme file ko local disk me se select kare fir "Install Now" button par click kare.
    4. How-to-Install-WordPress-Themes-6
    5. Installing complete hone ke baad uss theme ko "Activate" karana hai. agar is process ke doran koi problem aati hai toh apko jiski theme hai usse contact kar le.
    Asha hai ki apko post pasand aya hoga. humare article ko like and share karanaa na bhule or aap hume follow bhi kar sakte hai like facebook, gmail, twitter, pinterest etc... par agar wordpress me aap koi bhi problem face karte ho toh hume comment box me comment likh kar post kar de hum apki help jarur karenge.

    Friday 12 August 2016

    wording

    dsfnldsf dnscdsoweir wenf nds[ cjv kxcnbvl newrhowe flds nvxcl;vnow rejhtiwoent lnl xvxc vhcxv oh weonrwern welne ohsdf dsf sjf jd fjd jf dj fldfl a; ; weor eior eoi tr jg fg fgvbvb mv l ;pvnjfnwe rwe iruweruweirks dfklsd jfdsn lfk nfjhf; gjaig

    Computer Ko Faster Karane Ke Top Tarike

    Computer slow hona ek aam baat ho gayi hai. kyoki hum log apne computer/pc/laptop me bahut si application daal dete hai isliye essi pareshaniya aane lag jati hai computer slow ho jata hai or hang bhi hota hai or essa bhi hota hai ki koi application chlate samaye bhi atak jata hai. or yaha tak ki internet ki speed bhi slow ho jati hai or web browser bhi slow hoo jata hai. hum aaj in problem ka solution denge jisse aap wapas computer ko faster kar sakoge. computer ko speed me wapas laane ke hum top tarike batayenge jo particular windows par work karta hai yani ki bhale wo windows xp ho ya windows 7/8/8.1/10 ho sabhi pe kaam karega.
    Hum jante hai computer slow kayi tarike se ho sakta hai jaise ki folder/file open karte samaye bahut load le lena or my computer open karte samaye loading hona or fir internet surfing karte samaye ya fir kuch other task me etc... agar aap in pareshaniyo me hai toh apko mukati milegi or apna computer wapas kayi guna fast kar paoge. apne ye jarur search kiya hoga ki computer ko fast kaise kare toh niche diye gayi kuch top tarike hai jisse aap pc ki speed bada sakte hai.

    #1. Make Sure Your Hardware is Sufficient

    Sunichit kare ki apka hardware sahi se work kar raha hai ya nahi. or yaha bhi dekhe ki jo aapne windows dala hai wo uss hardware me support karta hai ya nahi. or jo aap software daal rahe hai wo us os (operating system) me work sahi support karta hai ya nahi.

    #2. Keep software up to date

    Apne computer me dale software ko update karte rahe jaise ki web browser, drivers for devices like - printers, speakers etc... or ho sake toh windows ko update kare naye windows ka laabh uthaye kyoki duno-din security implement ki jaa rahi hai Microsoft drawa jisse apko acha experience milega.

    #3. Disable Startup Programs

    Startup program ko stop kare jo application aap kaam me nahi le rahe usse disable kare. aap agar windows 8/8.1/10 par hai toh task manager me jaye or startup tab me jake program ko stop kare ya fir disable startup kare. or apne computer ko restart kare. next time se wo application load nahi lega or speed me improvement ayega. dyaan rahe system ki application ko disable na kare.

    #4. Empty the Recycle Bin

    Hum log simply file ko delete karte hai. par really me disk se delete nahi hoti hai. wo file moved ho jati hai temporary holding area hard drive me jo aap restoration kar sakte hai kabhi bhi. ussi ko hum recycle bin kahate hai uss me move ho jati hai delete ki huwi file. aapko recycle bin ko empty rakhana chahiye kyoki isse bhi computer par asar padata hai.

    #5. Uninstall all applications that are no longer needed or unused

    Apne computer me dale huwe application ya fir apke dwara daale gaye application jo aap use nahi lete daily basis me toh apko usko uninstall kar dena chahiye. jyadatar games se computer slow hota hai aap kum-se-kum games daale or software ko bhi jo regular kaam me lete hai. or uninstall karane ke liye Revo unistaller Pro ya fir Ccleaner ka use le bahut popular uninstall application hai. Windows Registry file ke sath uninstall karte hai jisse apka pc again fast hone ke kabil ho jata hai.

    #6. Remove temporary files

    Windows me unnecessary system files banti hai usse ragular delete karte rahe or windows disk clean-up utility ko bhi kaam me le jisse computer ko boost up performance milega. temporary files ko delete karane ke liye apko run command me jana hoga or waha %temp% likh kar enter karana hai fir uddar jo bhi file/folder dikh rahe hai unko delete karana hai.

    Disk Clean-Up Utility Kaise Kare
    1. Click Start. In the search box, type disk clean up and, from the list of results that appears, click Disk Clean-up. 
    2. In the list of Drives, click the hard disk drive that you want to clean. 
    3. For most people this will be the C: drive. 
    4. Click OK. In the Disk Clean-up box, select the type of files that you want to delete and then click OK and then click Delete files.

    #7. Removing Toolbars

    Web browser me extra toolbars ko nahi lagaye ye aam tor par dekha jata hai ki users dwara bahut sare toolbar install kiye jate hai jisse internet ki speed slow ho jati hai yaha tak ki web browser bhi hang hone lagta hai.

    #8. Check for viruses and other malware

    Antivirus software ko install rakhe. kyoki viruses humare computer ko slow down kar dete hai or data ko loss kar dete hai. antivirus ko update karte rahe or monthly computer ko pura scan kare. antivirus ek hi install kare ek se jyada dalane se ho sakta hai ki viruse ho na ho antivirus hi apka computer slow kar de.

    #9. Clean Your Desktop

    Windows Desktop ko file/folder ya other items se pura bar na de. agar aap esse karte hai toh apka computer ki processing slower ho jayegi. fir aap khud hi dekh sakte ho ki my computer open hone me hi bahut waqt nikal jata hai. isliye desktop par kum-se-kum application or files rakhe.

    #10. Free Up Disk Space

    Hard Drive ko completely full na kare. jo kaam nahi aa rahi un software, games, picture ko delete kar de or ek bar desk cleanup tool use kar le. specially aap dyaan rakhe jisme system install hai (C: Drive) usko toh jitna ho saake free space (khali) rakhe.
    Asha hai ki aap in tariko se computer ko fast kar paoge. agar apko ye article pasand aye toh like & share jarur kariyega. or aap hume follow bhi kar sakte hai facebook, twitter, pinterest, google+ par.
    Take Care & Enjoy !!!

    Tuesday 9 August 2016

    White Hat Seo Kya Hai in hindi | Full Guide

     
    White Hat SEO (search engine optimization) practice se search performance continuously improve hoti rahati hai par search engine ke terms and condition ko follow karte rahe toh. White Hat SEO optimize karane ka matlab ye hai ki apko organic rank milti hai or isse bahut jyada traffic bhi milti hai. par website ko optimized karana padta rahata hai or content par bhi focused karana padta hai ki content seo friendly hai ya nahi ya or kaise better banaye etc...

    Kya Aap White Hat Seo Sikhna Chahoge (Like Below) -

    • What White Hat SEO is exactly in hindi.
    • How White Hat SEO can affect your blog/website in hindi.
    • How to Put White Hat SEO Tactics Without Breaking the Rules in hindi.
    White Hat SEO (search engine optimization) ka opposite "Black Hat SEO" Hai or mene pichhale post me pura guide kiya hai ki blackhat seo kya hota hai. basically White Hat SEO practices se aap Search Engine Result Pages (SERP) Search Performance Improve karte hi ho or terms of service bhi follow karte ho.  isse apka ye fayda hai ki apki website/blog search result me visible hoti hai or achi page rank bhi milti hai.

    Tactics for improving a website's placement in search results include:

    Tactics For Improving Website Search Result
    • Sahi se keywords ko include karana title, descriptive, keyword-rich meta tags and URL me.
    • Apki site ko navigate karane me aasan banaye.
    • Content me video ko add kare. 
    • Quality Content and Services ko peshakash kare.
    • Links and button ko site me add kare jisse reader gaharaee tak jaa sake or exprience acha mil sake.
    • Page par paryaapt text related keywords ko add kare - dyaan rahe ki jyada na use le warna ye keywords stuffing kahalayegi.
    • Social media account ke link add kare or users ko social media se jude rakhe unse baatchit kare.

    Some Example Of White Hat SEO Strategies:

    White Hat SEO Strategies In Hindi
    • Use keywords.
    • Keyword analysis.
    • Back-linking.
    • Link building to improve link popularity.
    • Writing content for human readers.

    Some White Hat SEO Techniques Listed:

    White Hat SEO Techniques Listed
    1. Use Keyword Research to Discover Content Demand - (Find the Best Keyword for your Website, Alexa’s Keyword Difficulty Tool)
    2. Create SEO Content That Answers The Search Intent - (be clear in your title tag and meta description about what your content promises, Your content as a Q & A. The keyword query is the question. Your content is the answer)
    3. Help Google Know What Your Content is About by Getting Votes of Confidence - ( add value to their content, personalize your outreach in a genuine, one-on-one way that shows you know the blogger, be patient. Building mutually beneficial relationships takes time)

    Final Words - White Hat SEO Strategy:

    White Hat SEO (search engine optimization) practice aap kar sakte hai bina koi tension liye like spammer ki tarah mahasus karana etc... Agar aap benefit paana chahate hai toh aap jyada whitehat seo par focus kare. aap jarur isme mukam paa loge. kyoki google bhi ye hi chahata hai ki users apke website se satisfied rahe or happy rahe apke answer ya valuable contents se. or google un blogging karane wale logo ko jarur top ranking me rakhata hai.
    Asha Hai Ki Apko Humare Article Se Help Mili Hogi Or Humne Puri Kosis Bhi Ki Hai Puri Information Dene Ki Or Ha Apko Agar Yah Article Pasand Aye Toh Like, Share Karana Na Bhuliyega Or Aap Hume Follow Bhi Kar Sakte Hai FaceBook, Twitter, Pinterest, E-mail, Google+ Etc...
    Take Care & Enjoy !!!