Tuesday 16 August 2016

Backlinks Ke Advantages Se SEO Strong Kaise Hota Hai

Backlinks Ke Advantages Se SEO Strong Kaise Hota Hai
Backlinks ke baare me humne pahale hi ek article banaa diya hai. ki actual backlink kya hota hai or SEO ko kaise build karta hai ye btaya tha. Aaj hum backlinks ke advantages ke baare me baat karenge. par pahale me kuch important baat bata deta hu kyoki jyada tar log backlinks ko generate kar toh lete hai par toh bhi ranking me koi fark nahi aata hai wo kyu? wo isliye log low quality backlinks ko build karte hai pahale toh low quality se bhi ranking me fark aata tha par jabh se google ne penguin algorithm ko roll out kiya hai tabse problem start ho gayi hai. apko abh high quality backlinks ko hi generate karana hoga warna site ki ranking me koi tarah ki help nahi milegi.
Website/blog Seo ke liye backlinks hona bahut jaruri hai kyoki backlinks apki site ki popularty badata hai or site ki value ko bhi increase karta hai. yaha tak ki jitni jyada backlinks apke site ki hogi utani jyada site ko traffic milegi. or sath hi backlinks jyada hone se search engines se bhi achi ranking milegi or organic traffic bhi milegi. backlinks seo ko strongest karta hai jisse site ko achi SERP (Search Engine Result Pages) milati hai. chaliye niche humne backlinks ke advantages ko point kiya hai usse bhi dekh lete hai.

The Advantages Of SEO Backlinks

  1. Continuously Improving Organic Ranking
  2. Organic Ranking - Build SEO
    Pahali baat ye Organic Traffic hota kya? organic traffic wo hota hai jo search engines ( i.e. Google, Yahoo, Bing, Baidu, AOL, Ask, DuckDuckGo etc...) se aane wali traffic apke ko hi organic traffic kahate hai. Or jab aapki site ko dusre sites se backlinks milta hai to search engine un sito ke search result ke sath aapki site ko bhi search me improve karta hai. isse achi organic search ranking milti hai or nirantar ranking me badlaw aata hai. (i.e. agar aapki site ko hindimetopics se backlinks mile toh search engine me aapki site bhi hindimetopics ke result me ayegi. isse aapki website/blog ki ranking me farak ayega or traffic bhi kuch aadh tak bad jayegi.)
  3. Search Engines Fast Indexing Our Site
    Search Engines Fast Indexing Our Site
  4. Jab Aap koi bhi post likh rahe ho toh aap us post me contents daalte ho or kuch links bhi add karte ho or aap us post ko publish karte ho. uske baad search engines ke robots apke post ko dekhta hai or puri tarah scan karta hai ki ye post kis bare me hai. search engines ka robot review pura karane ke baad apke post ko index kar dega. fir jab search engine me related content ke search term milenge toh usme apki website bhi show hogi. indexing ke liye apko backlinks ki jarurat hogi yadi apki site new hai toh apko kuch high quality site (facebook, pinterest, google+ etc... ) me bhi post karana hoga isse fast search indexing hogi.
  5. Increase Referral Traffic
    Increase Referral Traffic
  6. Referral Traffic ka sabse bada fayda hai ki koi other site apki site ko link karta hai toh usse backlinks milti hai or dusri sites se relation banati hai or apko unse direct traffic bhi milti hai. (i.e. samaj lo yousite.com/post-link.html par apki site ki link lagi hai users dwara us link par click hoga toh apko uska referral url milega jisse apki backlinks bhi milegi.) search engine referral traffic ko pasand karta hai or un sito ko fastly ranking me increase bhi karta hai.
  7. Alexa Ranking Improve
    Alexa Ranking Improve
  8. Site ke liye alexa ranking bahut jaruri hai kyoki alexa apki site ki opsition btata hai ki aap kis position par ho. or backlinks se alexa ranking badhti hai uske hisabh se site ki bhi value badhti hai. alexa apki website ki position or metric btati hai ki aap pahale kitne rank par the or ab kitne rank par ho. or ye bhi btati hai ki apke website me kitne website se link judi hai usse backlinks kahate hai.

Final Words - Backlinks Building Top Tips

Agar apko backlinks badani hai toh aap dusri websites par comments karana suru kar de par dyaan rahe jaha aap comment kar rahe hai wo website high quality honi chahiye. or web-directories me apni website ki url ko submit kare. question-awnser forums me apne website ka review daale us forum me logo ki help kare jisse achi traffic mil sake.
Asha hai ki apko humara article jarur pasand aya hoga or ache se samaj bhi aya hoga agar apko koi problem aati hai ya fir koi topic samaj nahi aya ho toh aap hume comment kar sakte hai apka comment ka jarur jwab milega. humare article ko like, share jarur kijiyega or aap hume follow bhi kar sakte hai Google+, Facebook, Pinterest, Twitter etc... Par.
Take Care & Enjoy !!!

No comments:

Post a Comment