Tuesday 9 August 2016

Google Chrome Browser Ka Downloading Location Kaise Badle

Google Chrome Browser Ka Downloading Location Kese Badle
 Hi friends, Me Aaj Browser related article banaa rha hu. ye article (Google Chrome Browser Ka Downloading Location Kese Badale - How To Change Downloading Location from Google Chrome) ke bare me hai. chaliye pele me google chrome ke bare me jankari deta hu. Google chrome (Google) dvaara developed ek freeware web browser hai, yah webkit layout engine version hai. StatCounter ke anusar hai ki google chrome web browser ka ek hissa desktop browser 60.1% duniya bar me upayog liya jaa rha hai. yah bhi hai ki smartphones me bhi bahut popular web browser hai, or lagbag 45% sabhi platforms bar me add kiya gya hai. google ka "chrome" brand name success brand hai jo aaj har koi iss brand ko use karta hai.

                chaliye me point par ata hu, me btane jaa rahaa hu ki kaise google chrome se downloading sthaan ko badalaa jaye. yadi aap aksar ek khass prakaar ki file download karte hai par uska location by default "Downloads Folder" hota hai usko change karna chahate hai, apko location ko badalnaa nahi ata toh ye article apke liye helpfull rahegi. saral or ache format me samjaunga jisse ache se pataa chal jayega aapko, niche diye gaye steps ko follow karanaa hoga.

How to change the Downloading location in Google Chrome:

         Pele toh aap nya version google chrome download kare kyoki naye version google chrome ki settings thodi change hai mene google chrome (Version 51.0.2704.106 m) Test kiya hai or issi version ka tutorial hai.

Opera Me Hidden VPN Ko Enable Kaise Kare Or Usko Unlimited Kaise Istemaal Kare Janiye Hindi Me.
  • first, aap apna google chrome open kare fir right-side corner me Menu menu bar hoga ispe click kare apke pass bahut sare option ayenge apko uss list me "Settings" likha huwa milega uss par click kare. (Agar nhi samaj aya toh niche image di hai aap dekh skte ho.)
  • Google Chrome Settings Now Click
  • Settings par click karne ke baad ek nya page open hoga. uss page ko "scroll-down" karna hai matlab ki page ko niche karna hai or niche likha hoga ki "Show advanced settings..." uss par click kare. (Agar nhi samaj aya toh niche image di hai aap dekh skte ho.)
  • Google Chrome Show advanced settings...
  • Fir, apko wapas se "scroll-down" karna hai or apko ek head title milega jiska name "Downloads" hoga ussi section me apko "Download Location" milega.
  • Google Chrome Downloads Section
  • Jab aap download location "change" button par click karoge toh apke pass "browse for folder" ka box ayega or kahaa save karna hai file ko wo puchega aap apna location de or "OK" button par click kare apki location change ho jayegi. fir aap jabi bhi download karoge toh wo file apne jaha located kiya hai waha save ho jayegi.
    Google Chrome Download Location Change

  • YouTube ke Media File Ko MP3 Format Me Kaise Badle Or Usse Kese Download kare.
I Hope Mene Sab Sahi Se Explain Kiya Hai. Apko Achi Tarah Se Samaj Me Aa Gya Hoga. Or Agar Nhi Aya Ho Toh Niche Comment Box Hai Aap Comment Kar Ke Swaal Puch Skte Hai. Or Agar Hamara Ye Article Pasand Aya Ho Toh Comment Karna Na Bhulna. Kyoki Har Comment Hamare Liye Bahut Important Hai. Or Ha Ek Baat Or is Article Ko Share Karna Na Bhule. 

No comments:

Post a Comment