Tuesday 9 August 2016

Kaise Dunde Apne Saved WiFi Passwords Ko Windows 8/8.1/10 Me

Kaise Dunde Apne Saved WiFi Passwords Ko Windows 8/8.1/10 Me
Kya aap apna wifi network ka password bhul gaye hai. ya fir apne wifi networks list me dusre wifi ka password pataa karana chahate hai. toh ye tutorial apke liye hai hum aaj btayenge ki kaise hum dekh sakte hai old saved password jo pahale kabhi wifi network se connect kiya tha par abh yaad nahi hai or aap koi dusre device yani ki smartphone jaise android, blackberry, ios, windows me wo password lagane chahate hai. par apko pata nahi ki kaha se pata kare wifi ka password apne windows me.
Hum apko kuch esse option btayenge jisse aap wifi networks ke old password ko jaan sakoge. hum jante hai ki ye itna asan nahi hai. or kuch log ye bhi karte hai ki jisme wifi network connect hai usme se kosis karte hai WiFi-router ko reset karane ki par reset karane ke liye bhi WiFi-router ka admin username & password hona jaruri hota hai agar apke pass nahi hai admin information toh aap kuch nahi kar sakte. WiFi-Router ko access karane ke liye apko (192.168.1.1) address bar me likhna hoga open hone ke baad apko login details dalani hogi niche image di hai d-link WiFi-router ki dekh sakte hai aap.
D-Link WiFi-Router Login Detail Page
Jo me btane jaa rahaa hu wo sirf ussi windows pc me kaam karega jisme pahale kabhi apne wifi network ko connect kiya ho. or us wifi network ka password janna chahate ho toh chaliye niche puri tarah se explain kiya hai dekhe.

How To Find Saved WiFi Passwords in Windows (Hindi Me - HMT):

  1. Sabse Pahale Apko "Run Command" open karana hoga "Win+R" button ko press kare. fir apke pass chota sa run dailog box ayega usme aap type kare "ncpa.cpl" or "OK" button par click kare.
  2. Run Command Enter "ncpa.cpl" - WiFi Passwords
  3. Network Connections windows pop up ayega, fir apko dundna hai wireless network ko, us par righ-click kare or us list me se "Status" ko select kare.
  4. Network Connections - Wifi
  5. Wi-Fi Status windows open hone ke baad "Wireless Properties" button par click karana hai.
  6. Wi-Fi Status - Wireless Properties
    Wireless Network Properties - Connections
  7. Ek windows open hogi jisme "Security" Tab hoga uspar click kare or Niche apko (CheckBox) milega jisme "Show Characters" ko tick karana hai.
  8. Network Security Key - WiFi
  9. Tick karane ke baad apko "Network security key" Textbox me password show ho jayega. abh aap iss pasword ko kisi bhi device me lagaye sabhi me kaam karega.
I Hope Apko Achi Tarah Se Samaj Me Aa Gya Hoga. Or Agar Nhi Aya Ho Toh Niche Comment Box Hai Aap Comment Kar Ke Swaal Puch Sakte Hai. Or Agar Humara Ye Article Pasand Aya Ho Toh Comment Karna Na Bhulna. Kyoki Har Comment Hamare Liye Bahut Important Hai. Or Ha Ek Baat Or is Article Ko Share Karna Na Bhule.

Take Care & Enjoy !!!

No comments:

Post a Comment