Tuesday 9 August 2016

Internet Se Paise Kaise Kamaye in Hindi

Kya aap online se paise kamane ka rasta dhund rahe hai, agar ha toh aap sahi jagah aye hai me apko net se paise kaise kamate hai btaunga par kuch jankari me dunga jisse aap puri tarah se teyar ho jayenge internet se paise kamane ke liye. apko bataa du paise kamane ke liye apko koi investment karane ki jarurat nahi hai. bahut saari farji company banaa kar website khol li hai wo apko thag bhi skte hai, jaise pahale kahenge no fee no investment. par aage jaise-jaise badoge aapse security charges jaise fees mangenge inko hidden fees bhi kaha skte hai. dime-dime aap inki jaal me band jate ho. aap uss jaal se bahar nahi aa paate kyoki garib family ki paristhiti essi hoti hai aage aap kuch nahi kar paate or internet se paise kamane se nafarat karte hai kyoki apko sabhi jagah (fraud websites) ka dar rahata hai.
Aaj me apko real internet se paise dene wali websites bataunga or ye bilkul free hai apko koi investment karane ki jarurat nahi hai. uppar mene isliye ye baat btai kyo ki me khud bhi is jaal me fasta-fasta bachaa hu isliye mene thoda bahut apna experience btaya hai. chaliye me apko btata hu ki online se paise kaise kamaye. apke under kuch khubi matalab ki essi skill hone jaruri hai jisse apko paise kamane se koi bhi nahi rok skta, or aap ghar baithe paise kama skte ho. wese aap bhi school, high school ya college. toh gaye hi honge toh itni skill toh hoti hai. aap kisi me toh expert rahe hi honge (Like: data entry, teaching, music, selling, singing, writing, photography, designing etc...) internet bahut badi duniya hai aap bahut paise bhi kama skte hai chaliye me niche lists banayi hai dekh or padiye jarur.

Net Se Paise Kitne Tariko Se Kamaya Ja Sakta Hai:

Internet se unlimited tarike se paise kamaya ja sakta hai. bas apke paas internet hona jaruri hai or koi device essa ho jisse aap internet par kaam kar sako. ek or baat yaha mehanat har jagah lagati hai. bas fark itna hai ki, kahi par sharir ki mehanat lagati hai or kahi dimag ki. chaliye abh me kuch tarike bataa deta hu jisse aap internet se paise kama sake.

1.(Website) Blogging Kar Ke Paise Kamaye:

Blog Ya Website Banaa Ke Paise Kamaye
Blogging essa platform hai jaha ek paisa bhi karch karane ki jarurat nahi hai or blog suru karane ke liye apko technical skill ki jyada jarurat nahi hai, par important yah hai ki aap blog ke jariye se logo ko kis tarah ki help kar rahe hai. or aap likhane me or jankari me dene me ache hai. toh apko blogging karni chahiye.
  • Create Blog: Blogging karane ke liye free blog create kare. or logo ki help kare jyada se jyada jankari de. (blogger.com or wordpress.com)
  • Blogging se paise kaise milte hai: jab apne blog me 500 se 1,000+ visitor daily ke hone lagenge toh google apko $0.03 se $0.50 tak paise de skta hai, or ye saari earning dollar me hogi. or dollar rupees se bahut badaa hai aaj ke samay me.
  • Google hume kaise paise dega: apko pahale google adsense website me signup karanaa hai. or participate hone ke baad apke blog/website me ads lagenge jisse aap paise kamaoge - paise kaise milenge? apne bank account or check ke rup paise le skte ho.

2.YouTube Par Apna Video Upload Kar Ke Paise Kamaye:

YouTube Se Paise Kamane Ka Tarika
YouTube ke baare me toh sabh log jante hai. ki hum watch or upload kar sakte hai par - baat yah hai ki paise kaise banaye jaate hai youtube se? aaj tak apne youtube par kitne hi videos ko watch kiya hai abh sochiye ki wo video kisne upload kiya youtube ne nahi kiya hai wo apane jese logo ne hi kiya hai or wo un se kama bhi rahe hai. ye aap bhi kar sakte hai bas video essa banao jo logo ki help kare or iske badale me apko paise youtube se mil jayenge or ha ek or baat youtube par apne video me views ayenge toh hi paise kamaa paoge.
  • YouTube se paise kaise milte hai: jab apne video par (par 1,000 views) aate hai toh apko $1-$40 tak mil sakta hai, or ye saari earning dollar me hogi.
  • YouTube hume kaise paise dega: apko pahale videos ko upload kar ke youtube channel ko monetize karanaa hota hai or fir views start hone pe account me paise darj hote rahenge or final balance $100 hote hi aap apne bank ya checks se paise le sakte ho.
  • YouTube Se Paise Kaise Kamaye. YouTube Me Start Kaha Se Kare Step by Step Follow Kare Jisse Aap Apne Videos Ko Paise Me Badal Sakte Hai.

3.Teaching Online - Se Paise Kamaye:

Online Teaching Se Paise Kamaye
Aap agar kisi subject me (Like: Maths, Science, History etc...) expert hai toh aap online teaching kar skte hai. ji ha, aap ek online teacher ban kar bhi paise kama sakte hai. agar aap me ye skill hai toh bahut achi baat hai.
  • SkillsShare: Skillsshare ek esi service hai jo ki online teacher banne ki anumati deta hai, iss par register karne ke baad, aap jis subject me expert hai us subject me topic ko select kare. select karne ke baad me apse usi topics ke related kuch sawaal puche jayenge. agar aapne sahi jawaab diya har question ka toh aap skillshare me select ho jayenge.
  • Udemy: isi tarah ki ek or site hai Udemy naam se. is website me aap apne courses ko sell kar sakte hai. par apko udamy par register karanaa hoga.
  • Upwork: Upwork par aap register kare or apna profile banaye or jisme aap expert hai wo bhi likhe. apko post karanaa hai ki aap kisme expert hai or aap or kya ache se kar skte hai. jisko wo apki jaruat hogi wo aapko hire karega or fir apko uska kaam karanaa hai kaam pasand aane pe apnko feedback milega or sath hi sath paise bhi.
  • freelancer: Freelance bhi essa hi hai jisme apki skill bahut achi hai like: programmers, web developers, designers, writers, data entry & more... job apply kar sakte hai.

4.Online Sell Photos - Upload Or Kamaye Paise:

Photos Online Sell Kar Ke Paise Kamaye
Aap Nayi-Nayi photos ko banane ka shok rakhate hai or aap achi photos khichne or photo shot karane me mahir ho to aap photo ko sell kar ke paise bhi kama sakte ho, yaha tak ki photo ki creativity or something new and different photo ko bhi sell kar sakte ho. Niche mene website ki lists bnai hai dekhe.

5.Writing Job - Online Se Paise Kamaye:

Writing Job - Se Paise Kamaye
Writing se internet par paise kamane ke liye ek or better tarika hai. different type ke content ko write kar sakte ho jaise ki blogs, companies, institutions, individual people etc... alag tarike se likane se aap aam toh par logo se aap $5 se or bhi jyada dollar le sakte ho 500 words different likhne ke liye. niche website ki lists di hai usse aap paise kama sakte ho.

6.Affiliate Marketing Se Online Paise Kamaye

Affiliate Marketing Se Online Paise Kamaye
Affiliate Marketing se paise kamane me serious hai toh ye thoda hard kaam hai. par isse aap bahut badi income bana sakte ho or lifetime tak kama skte ho. kyoki aaj affiliate marketing matlab ki e-marketing bahut badaa demanding platform baan gya hai aaj har koi online shopping karta hai, apko customer tak apni affiliate link pahuchani hoti hai or customer us link se koi bhi product ko purchase karta hai toh apko us product se 4% to 20% commission milega. niche mene lists banai hai register kare or affiliate marketing me bhagidari bane.
Mene Jo Bhi Online Paise Kamane Ke Tarike Bataye Hai Wo Tarike Saare Professional Kaam Hai Me Chaahata Toh Or Bhi Badi Lists Banaa Skta Tha. Par Mere Kahane Ka Matlab Ye Hai Inse Jyada Professional Kaam Or Jobs Kahi Nahi Milegi. Ha Ek Or Baat Me Or Tarike Bhi Btaunga Par Wo Iske Next Post Me. Kyoki Internet Se Paise Kamane Wali Tarike Professional Work Se Mel Nahi Khati. Isliye Mene Inko Category Me Baat Diya Hai.

1 comment: