Tuesday 9 August 2016

Seo Friendly Post/Content/Article Kaise Banaye

Yadi aap blogger or website bana rahe hai ya fir aap pahale se hi blogging kar rahe hai. toh apko pta hona chahiye seo kyo jaruri hai ya fir website ke liye seo kyo mayine rakhata hai. jo log pareshani me juj rahe hai ki google par hamari website top par nahi aa rahi hai ya fir google se traffic jyada nahi aa rahi aadi. toh iska matlab hai ki apki blog/website ki seo low hai ya fir sahi se seo friendly banaya nahi gya hai or yah bhi ho sakta hai ki apne kuch mistake ki hai yani ki blackhat seo use kiya hai or bhi bahut kuch. Aaj me sabh doubt clear kar dunga or yah bhi btaunga ki blog ke content/post/article ko kaise karte hai seo friendly.
Seo isliye jaruri hai, jisse apne website ki position achi se achi bane or SERP (Search Engine Result Pages) achi aaye. seo implement karane se website ki rank bhi achi aati hai or apni website ke page/posts top par aa jata hai or google se jyada se jyada users bhi aate hai.

What is SEO Friendly Content? (in hindi - HMT)

Seo Freindly Content banane ke liye apko Quality information likhani hogi or unique 100% attractive likhna hoga jisse reader padte-padte bore na ho jaye esse seo friendly keyword ka chunaw karana hoga jo sabse jyada search hota ho or us information ki demand or craze bahut ho kyoki ye jaruri hai jo aap information de rahe ho woo logo ke kaam aye warna kon dekhega. Seo Friendly Content ke liye aapko valuable information, website design, kuch images daalne honge jisse users apke website me aye toh usko help jarur mile us post se iska yah fayda hai ki users dubara jarur ayega or apne group circle me us content ke baare me btayega or share bhi karega isse visitor bhi badenge or organic (Google, Yahoo, Bing etc...) traffic bhi. Chaliye mene niche kuch effective seo tips di hai us par dyaan dete hai.

Copy Past Kaam Na Kare - Seo Tips: 

Copy Past Kaam Na Kare - Seo Tips:
Dusre website/blog se contents ko copy karana or apane blog me past karana bahut badi mistak hai yah dekha jata hai aam tor par bloggers karte hai. agar aap essa karte hai toh apko search engines dwara penalty milegi. kyoki search engines bahut intelligent hota hai day-by-day or bhi jyada intelligent ban raha hai. agar aap copy content me paye gaye toh search engine ke result me apki website nahi milegi or apki website ki ranking bhi niche gir jayegi or ho sakta hai jo bhi apki site traffic aa rahi hai wo bhi chali jaye. isliye aap kisi ki website ki copy na kare. aap unique content ki surwat kare apko jarur google achi position dega or top par bhi rakhega.

Content Me Multimedia Jarur Add Kare - Seo Tips:

Content Me Multimedia Jarur Add Kare - Seo Tips:
Sabhi log alag-alag sochate hai or esse hi reader bhi humare website me alag-alag aate hai. isliye humko dyaan rakhna chahiye ki content essa banaye ki logo ko bore (बोर) na kare - kaise? content me multimedia daale jaise ki (Like: Images, Videos And info-graphics Items etc...) inko content me add karane se users ko apke site ka experience acha milega or interesting bhi ayega. yaha tak ki unko graphics items se help bhi milegi. yah ek seo ka hi part hai aap image items me (ALT Tags) ka use kare apne content ka keywords lagaye isse seo friendly content banta hai.
Yaad rahe ki image ko compress karana na bhule kyoki agar images ko optimize nahi kiya toh web page slow ho jayega jisse aap search result me piche ho sakte ho or users ko bhi slow website pasand nahi hoti hai. ye bhi dyaan de ki kisi ka copyrights images use na kare isse bhi google,bing etc... jese search engine apko result me niche kar sakta hai isse apki traffic kam ho jayegi.

Heading Tags Kaam Me Le - Seo Tips:

Heading Tags Kaam Me Le - Seo Tips:
Jab bhi aap articles banate ho acha or looong contents ka. toh apko sahi se heading tags ko use me lena chahiye. kyoki search engines ko identify karane me koi problem nahi aye ki apka content kis chij ya kis topic ka hai. search engines post ka TITLE, H1 Tag, H2 Tag, H3 Tag, H4 Tag, H5 Tag And H6 Tag se pata karta hai. or jab users dwara search kiya jata hai agar apka content us search related terms me hai toh apki website bhi show hogi. yah seo ka mahatv poorn bhag hai bhule nahi.

Content Me Titles & Meta Description Ko Kaam Me Le - Seo Tips:

Content Me Titles & Meta Description Ko Kaam Me Le - Seo Tips:
Content me Meta Description ka sabse badi bhumik hoti hai matlab ki important hota hai. meta desciption dete kaise hai? apko apne content ki summary ke anusar uska short-summary banani hogi or usko meta description tag me daalna hoga. isse search engine crawler fast or asani se hota hai. agar searchers dwara short-summary se milta julta search karta hai toh apki website SERP (Search Engien Result Pages) results me jaldi se show hogi. niche meta description ka tag diya hai aap isse apne website me use kar sakte hai.
<meta name="description" content="A page's description,  usually one or two sentences."/>
Dyaan Rakhe ki google apke content ka TITLE ko jyada-se-jyada 55 characters hi dikhayega fir (.....) dots me dikhega or dusri taraf se dekhe toh meta description me 135 se 250 charaters likh sakte hai.

Keywords Ko Dyaan Se Kaam Me Le - Seo Tips:

Keywords Ko Dyaan Se Kaam Me Le - Seo Tips:
Kuch esse keywords select kare jo apke content ko uppar laye. yah ek smart way hai jisse aap ranking me pakad banaa sakte hai or top par bhi sakte hai. apko me kuch advise deta hu apko title tag me main keywords ko use karana hai or first paragraph me bhi. or aap ye bhi kar sakte hai ki kuch essi jagah daale jisse uska sentence banta ho or haa dyaan rakhe jyada use naa kare jyada-se-jyada 3 ya 4 bar hi use kare. kyoki sare search engines hate karte hai keyword stuffing ko isliye normally use kare.

Internal Link Ko Kaam Me Le - Seo Tips:

Internal Link Ko Kaam Me Le - Seo Tips:
Apne article me related article ko link kare purane article ke baare me btaye or link de uska. content me jaha jarurat aati hai ki users ko ye bhi pta hona chahiye uska link daale. isse users ka apke website se jyada experience milta hai or page optimize bhi hota hai. yaha tak ki ye Seo best practice hai. or search engines me bhi achi rank milti hai.

Content Ko Publish Karane Se Pahale Check Kar Le - Seo Tips:

Content Ko Publish Karane Se Pahale Check Kar Le - Seo Tips:
Content ko check kar le kahi mistak na ho. or ye bhi dekh le apka content uniqueness ho. bahut sare tools hai jisse pta chal jayega ki apka content kaha se mil raha hai jaruri nahi ki aap hi essa sochate hai ho sakta hai apke jessa bhi koi sochata ho isliye pahale check kar le fir hi apne article ko publish kare.

Point Of View:

Bahut se log search karte hai article ko improve kaise kare matlab ki seo friendly & optimize content ko kaise likhe. isliye humne ye post banaya or apko humne puri jankari dene ki kosis ki hai ki kaise seo friendly content likha jaye or kaise ranking me pakad banaya jaye. dyaan rahe pura dyaan seo par na de apko seo ke sath-sath hi users ka bhi dyaan rakhna hoga ki users ko help mil rahi hai ya nahi. search engines yahi chahata hai ki users ko useful information mile isliye content bhi valuable hona chahiye.

Take Care & Enjoy...

3 comments:

  1. Awesome blog. I enjoyed reading your articles. This is truly a great read for me. I have bookmarked it and I am looking forward to reading new articles. Keep up the good work! seo packages for small business

    ReplyDelete
  2. Thanks for the nice blog. It was very useful for me. I'm happy I found this blog. Thank you for sharing with us,I too always learn something new from your post.

    ReplyDelete
  3. Im no expert, but I believe you just made an excellent point. You certainly fully understand what youre speaking about, and I can truly get behind that. marketing1on1.com/buy-backlinks

    ReplyDelete