Tuesday 9 August 2016

YouTube Se Paise Kaise Kamaye In Hindi

Hi Dosto, Aaj me youtube se paise kaise banate hai or youtube paise deta kaise hai inke baare me btaunga. pahale toh me thoda apko youtube ke baare me bataa rha hu. Youtube ek videos ka ek platform hai, youtube se billion log original-videos ko watch or share karte hai. youtube acts distribution platform ban gya hai jisse advertisers apne promotion ke liye advertising youtube par karte hai. or ha youtube ek google ka hi product hai - youtube kaise kaam karta hai? aapne dekha hoga ki jab hum koi video ko watch karte hai toh watch karte samay apko advertisement ads dikhte hai, ek right side me ads ka box bhi lagaa hota hai, or watch karne ke doraan apko youtube ke player ke bottom me banner ads show hota hai. ye sare youtube ke ads hai.
Youtube se bahut se You-Tuber users bahut samay se kamaa rahe hai yaha tak ki youtube bahut logo ko amir bhi banaya hai par wo log bahut mahanet karte hai. Youtube se paise kamana asaan hai, par apko videos banaane ke liye kuch saamaan ki jarurat padegi jisse aap professional video banaa paoge. youtube se har koi kamaa skta hai par iske liye internet ki jarurat hoti hai or aap bhale hi koi bhi device (Android, iOS, Windows etc...) / PC (Windows, Linux, Ubuntu etc...) use kar rahe ho kisi se bhi kama skte ho.

Youtube Field Me Jane Se Pahale Kin Chijo Ki Jarurat Padati Hai:

Youtube Se Paise Kamane Ke Liye Kin Cheejo Ki Jarurat Padati Hai
Youtube Se Paise Kamane Ke Liye Or Apne Aap Ko Professional Banane Ke Liye in Chijo Ka Hona Bahut Jaruri Hai Kyoki Har Koi Chahta Hai Ki Humko Ache Se Guide Kare Or Ache Se Samaj Bhi Aa Jaye. Ye Me Kyo Kaha Rahaa Hu Isliye Ki Bahut Se Log Josh-Josh Me Youtube Par Jaise-Tese Video Banaa Kar Daal Dete Hai Fir Hota Kya Hai Koi Bhi Users Video Ko (1 second-10 second) Tak Dekhta Hai Agar Us User Ko Apne Kaam Ki Chij Nahi Milti Ya Guide Me Kuch Kami Dekhti Hai Toh Wo Video Ko Close Kar Deta Hai Or Koi Dusra Video Dekht Leta Hai. Is Karan Kayi YouTubers Fail Ho Jate Hai Or Paise Kamane Ka Moka Kho Dete Hai. Isliye Me Apko Kuch Samgari Suggest Karunga Jo Apko Youtube Se Paise Kamane Liye Bahut Madad Karenge. 
  1. Camera: Video banane ke liye camera hona chahiye agar aap Techy hai matlab ki technology ke software, app, tricks and tips me achi jankari rakhte hai toh apko screen recorder ki jarurat padegi toh apko ye software Screen recording and video editing Download kar lena chahiye.
  2. Computer: Pc/Laptop hona bahut jaruri hai kyoki video ko or jyada guide karane ke liye video edit karanaa hota hai isliye pc hona jaruri hai mobile bhi hota hai par phone editing karte-karte bahut samay waste ho jayega.
  3. Audiences must be: Video banane se pahale aap social networking me account banaa le jaise ki FaceBook, Twitter, Pinterest, Google Plus, Whatsapp etc... inpe account khol le or ho sako toh kuch ache friends banaa le. jisse aap video ko share kar sako.
Apko abh toh pata chal gya hai ki youtube se paise kamane ke liye kya jarurat hoti hai. jisse apne videos ko top me dekh skte ho. par iske liye kuch general skill ki jarurat hoti hai jaise ki apni boli achi honi chahiye or logo ko aap kitna ache se bataa skte ho, kuch apni style or talent esse ho jisse log apko pasand kare or subscribe karte rahe.

Youtube Se Paise Banate Hai Or Earning Kaise Hoti Hai:

Youtube Se Paise Banate Hai
Youtube se kis tarah paise banate hai? ye sabhi ke man me baat aati hai. isliye me btaa rha hu ki youtube par upload karane ke baad us video par views aane start ho jaate hai toh youtube apko views ke paise deta hai - kaise? per thousand (1,000) views hone par apko $0.10 se $50 tak de skta hai abh aap soch rahe honge ki mene ek nichit paise kyo nahi likha isliye ki apka video kaha watch ho raha hai us par depend karta hai jaise ki USA, India, UK, Canada etc... sabhi ka payrate alag-alag hota hai yahaa tak ki Youtube apko video ads par click hone pe bhi paise deta hai ye bhi fix amount nahi hota hai par click apko sayad $0.25 se $30 tak mil skte hai.
Abh baat yah aati hai ki agar apko youtube par channel banana nahi aa rahaa toh uppr di gayi link par click kare or agar apko apne videos ko paid videos me convert kaise kare [video ko monetize kaise kare] ke baare me information chahiye toh uppar link di hai or agar apko youtube ki earning adsense me dekhani hai toh apko youtube ko adsense me connect karana hota hai wo kaise kare uski bhi link uppar di hai. hum chahate hai ki apka businness bane or joro-soro se chale or aap logo ki help kare or sath-sath paise bhi kama le.
Me Asaha karta hu ki apko humara ye article apke liye helpfull sabhit ho or apko ye post pasand aye agar iske related apko koi swaal puchna ho toh be jijak comment box me comment kariye me apki help jarur karunga or humara article apko pasand aya ho toh like, share or subscribe karanaa na bhuliyega. Take Care. Enjoy!!!

No comments:

Post a Comment