Tuesday 9 August 2016

Google Adsense Se Aap Ghar Baithe Paise Kama Sakte Hai

Google Adsense Se Aap Ghar Baithe Paise Kama Sakte Hai [Hindi Me]
Hi Friends, Me aaj btaunga ki google apko ghar baithe paise kaise deta hai, jaane ke liye aap yah article dyaan se padiye. sabse pahali baat google ke kai products hai jisme se google ka ek product essa hai jisse aap labh utha sakte hai kahane ka matlab yah hai ki google adsense ek google ka hi part hai jo publishers and advertiser isme participate karte hai. Chaliye ye toh pataa chal gya ki google adsense ek product hai jo apko ghar baithe paise kamane ka moka deta hai or isme koi bhi degree, qualification ya high skills ki jarurat nahi hai yah aam aadmi bhi google adsense program me join ho sakta hai. adsense me join hone ke liye apke paas apna blog or website hona jaruri hai kyoki google adsense ke jariye kamayi ka sadhan banta hai. google adsense world ka sabse badaa or high paise dene wala ads network hai.
Google Adsense me join hone se pahale apni bhasha ko check kar le ki adsense ke ads us bhasha me support karte hai ya nahi, kyoki aap jab apply karoge agar wah language support nahi hai toh apko adsense approval nahi milega.

Google Adsense Ke Liye Kare Apply:

Google Adsense Ke Liye Kare Apply
Aap apna blog/website puri tarah banaa lo or blog me kuch contents unique post kar do uske baad google adsense ke liye apply kar sakte ho. google se approval milane ke baad apko apne blog me google ke advertisment karani hogi - kaise? google adsense ki or se banayi gayi ads code ko apne blog/website me lagana hai.

Adsense Se Kaise Hogi Kamayi:

 Adsense Se Kaise Hogi Kamayi
Jaise-Jaise apke blog/website logo dwara visit honge or blog me ads chalane suru honge apko paise milane langenge. google adsense apko har mahine fixed date par paise dega or yah paisa aap sidhe apke bank account me le sakte ho, yaha tak ki aap paisa check dwara bhi le sakte ho google check ke jariye bhi yah paise apko de sakta hai.

Google Adsense Ki Payment Policy:

Google Adsense publisher ke liye kuch sarthe rakhta hai ki payment lene ke liye apko apne google adsense account me kum-se-kum $100 us me banane honge. tab hi google apko paise dega, agar $100 se kum hoti hai earning toh google paisa send nahi karega. ha ek or baat bahut log paresan hai ki google payment deta kab hai. chaliye me btata hu samaj lo ki july ka mahina khatam ho raha hai or apke account me $120 ho gaye hai toh next month yani august ke mahine me apko 21 tarik ko payment google adsense dwara send kar diya jayega or 2-5 din tak process bank dwara lagega yani ki apka paisa apko 27-28 tarik august me mil jayega.
Asha Hai Ki Apko Humara Ye Article Bahut Pasand Ayega Or Hum Yah Bhi Asha Karte Hai Ki Is Article Se Apko Bahut Help Mili Hogi Agar Apko Pasand Aya Ho Toh Like, Share And Comments Jarur Kariyega Or Hume Aap Follow Bhi Kar Sakte Ho Facebook, Twitter, Pinterest And Email. Take Care & Enjoy !!!

No comments:

Post a Comment