Tuesday 9 August 2016

Hackers Se Jude Kimati Baate Jo Ki Apko Pta Hone Chahiye

Hackers Se Jude Kimati Baate Jo Ki Apko Pta Hone Chahiye
Apne suna hoga computer hacking ke bare me. lekin swaal hai ki aap iske baare me kitna jaante hai? apko mera yah article padkar iske bare me bahut si jankari milegi. mene aaj kuch esse swaal ke jwaab btaye hai jise padkar aapko bahut fayda hoga, aap sawdan rahoge. ye jaannaa bahut jaruri hai rojana duniya me hackers bad rahe hai or apko pataa bhi nhi chalega ki apka device ya pc hack ho chuka hai, isliye apko janna bahut jaruri hai chaliye me point suru karta hu. 

What is Hacking? - hacking kya hai?

Yah proccess hai ki, jiske dwara kisi computer ke software ya hardware ko manchahe dhang se code karke apne man ke hisabh se koi bhi kaary kar liya jata hai. jisme aksar software ya hardware ke loop jaankar unka fayda uthaya jata hai. isko askar log galat mante hai, jabki esa nhi hai, iska asli karan ye hai ki turant technology ko adhik majbut bnana hota hai. lekin jab bure hackers ki baat hoti ho tab hacking ka galat fayda uttaya jata hai, jisse yah aaj bahut badnaam shabd ban gya hai.
Hacker

Who's the Hacker? - hackers kaun hai?

 Hacker ya white hat hacker ko "ethical hacker" bhi kaha jata hai. ye log computer software expert hote hai, jinhe tarah-tarah computer information softwares ko pukhta rakhne ke liye rang-ruth rakti hai. inhe Sneaker ke naam se bhi bulaya jata hai.

How many types of hackers? - Hackers kitane tarike ke hote hai?

Many Type Of The Hackers
Hackers ko tin rupo me dekha jata hai - 1) White Hat  2) Black Hat  3) Grey Hat
  1.  White Hat Hackers: vah hacker jo jan kalyaan ya softwares ko majbut bnane ke liye apne gyaan ka prayoog karta hai.
  2. Black Hat Hackers: vah hacker jo apne gyaan ka upayog kar ke dusro ko dhokha deta hai or unko nuksaan bahuchata hai, inhe aksar Crackers ke naam se jana jata hai.
  3. Grey Hat Hackers: vah hacker jo apne hacking skill ka prayog ka saamna achai kare or pit-piche burayi kare.

Who is Cracker?  -  Cracker kon hai?

Who is Cracker
       black hat hacker jo apne fayda, galat kamo ke liye network par mojut kisi computer ko hack kar lete hai, woh crack kahalaate hai. ese log virus, Botnet, Spam or internet warm ke jariye se software me badalaw karte hai or data ko krab karte hai yaha tak ki vinaas kar dete hai.

How to Save a computer hacking?  -  apne computer ko hacking hone se kese bachaaye

Save Your Computer From Hackers
Computer ko hacking se bachaane ke liye apko acha anti-viruse install karna hoga or firewall security enable karna hoga, lekin iske sath-sath apke network software, virus, spyware, phishing aadi ki basic jaankari honi chahiye. jisse apka computer hack hone se bach sake.
  • I Hope Mera Article Apko Acha Lga Hoga Or Apko Basic Jaankari Mili Hogi. Agar Apko Koi Sawal Puchna Hai Or is Article Me Kuch or Achi Information Add Krana Chahate Hai Toh Niche Diye Gaye Comment Box Me Aap Likh Kar Hame Comment Kar Skte Ho. Humara Ye Article Share Karna Na Bhule Or Like Bhi Karna Na Bhule.

No comments:

Post a Comment