Monday 15 August 2016

Backlink Kya Hai : SEO Ke Liye Jaruri Kyo Hota Hai

Backlink Kya Hai - SEO Ke Liye Jaruri Kyo Hota Hai
Backlink ek bahut popular word hai jo SEO (search engine optimization) ke liye bahut jaruri hota hai. bahut se blogger jo abhi-abhi website/blog start kiya hai. defiantly jarur search karte honge SEO ke baare me ussi ke sath apne ek or naam suna hoga "backlink" yah actual hai kya ye hum btayenge or ye kaam kaise karta hai or ye SEO ko stronge kaise banata hai ye bhi hum padenge.
Backlinks banane se search engine result se achi ranking paa sakte hai. agar aap achi ranking pana chahate hai toh backlink banaye or usko ko follow kare search engine ko wo hi blogger pasand aate hai jinki achi (pet) goodwill ho (ie - ek tarah se charo aur se chaya huwa ho charchit inshan ho uske website/blog ke baare me har koi baat karta ho etc...)

Actually Backlinks Hai Kya Seo me improve kaise hota hai

Backlink Chart By HindiMeTopics - BackLinks
Backlink ka chart se aap ache se samaj paoge. isliye samjane ke liye mene upar image daali hai. backlink wo hota hai jo other website apne web pages me apke website ko link karta ho matlab ki article me apki bhi website ki link di ho wo external link kaha layegi. ek or tarike se btata hu jaise ki meri website hai mene apki website ko link kiya hai or users dwara us link par visit karega toh apko meri website ki backlink milegi. isi tarah backlink aapki site par kitni dusri sites se visitors aate hai wo aapki site ki backlinks hoti hai.
Backlink major metric hai jo apke webpage ki ranking me improvement karta hai. or search engines me higher ranking dilwata hai. yah sabh se badaa factor hai jo seo (Search Engine Optimization) ko build karta hai. backlinks aapke site ke liye bahut faydemand rahega. apki site ke jitne jyada backlinks honge google apki site ko search result me utni hi jyada value dega. par google apke site ko tabhi value dega jabh apke backlinks (Good - achi) high quality ke baclinks honge.

Kitne Type Ki Backlinks Hoti Hai Or Kyo Important Hoti Hai

Anchor Text Chart HindiMeTopics - Backlinks
  • Anchor Text - Yah Clickable text hota hai jo hyperlink ke rup me dekha jata hai. anchor text apne page/post me re-linking kiya jata hai jaise ki text me blue color ki under-linked anchor text most commonly dekha jata hai. ha ye baat bhi hai aap chaho toh text ka color badal sakte ho. yah ek best seo practices hai jisse search engines me acha impact padta hai.
    Link Juice Chart | Backlinks
  • Link Juice - Jabh Aap apne web page me link add karte ho other posts/pages ko or apne site ke homepage ko toh yah link juice method kaha layega. link juice help karta hai apne other post/page ko ranking me laane ki or isse DA (domain authority) bhi improve hota hai. agar aap nahi chahate refer karana toh aap link ko stop passing kar sakte hai simple sa nofollow tag laga ke.
    Internal Links Chart By HindMeTopics (Backlinks)
  • Internal Links - Hum jabh apne hi website ke other posts/pages ko add karte hai hai toh usse internal link kahate hai. jaise ki apne dekha hoga ki bahut se blogger post me links ko add karte hai apne dusre post ke link ko. kyoki wo ye bhi chahate hai ki aap iske baare me bhi pade jankari le. isse post ki seo bhi achi banti hai.
    Do Follow Links - Backlinks
  • Do-Follow Links - Do Follow ka koi tag nahi hota ( Yah By Default Tag Hi Hota Hai i.e. <a href="http://www.yoursite.com">Your Site</a> ) do follow ki madad se juice pass kar sakte hai. isse backlinks milti hai or apke site ke page/post ki ranking bhi achi aati hai.
    No Follow Links - Backlinks
  • No-Follow Links - Agar aap chahate hai ki dusri sites ko meri link ki juice pass nahi karani hai toh aap no-follow link add kare. iska tag hai jo is type ka hai ( i.e. <a href="http://www.othersite.com" rel="nofollow">other site</a> ) ye bhi backlinks hote hai jo link pass karane ko allow nahi karte hai. agar apko koi other site ko add karane ki jarurat pad jati hai or wo site sahi nahi hai matlab ki unreliable hai toh aap no-follow tag ka use kare. or iss tag se aap webmasters ko bhi mana karte ho ki is link ko follow na kare or page rank transfer bhi nahi kare.
    Low-Quality Links - Backlinks
  • Low-Quality Links - Harmful sites, spam sites or 18+ sites, automacted sites se aane wale links low quality hoti hai. inse humari seo low ho jati hai. agar aap blacklinks purchase karte ho toh thoda careful rahe. kyoki aane wale visitor apke site ko hani pahucha sakte hai (adsense jaise networks se jude ho toh dyaan se backlinks ko buy kijiye warna mat kijiye.)
Asha hai ki apko is post se backlinks ki basic information mili hogi. or ache se backlinks ke bare me janne me koi problem nahi ayi hogi. agar apko kahi ya koi point samaj nahi aya toh aap hume comment kare hum apke comment ka jarur jwab denge. agar apko humara article pasand aya ho toh please share, link karana na bhule aap hume follow bhi kar sakte hai Google+, Facebook, Twitter, Pinterest etc...

TakeCare & Enjoy !!!

2 comments:

  1. which belong to as above, then sense loose to proportion with us through comments, we would like to vicinity it in above list. click here

    ReplyDelete
    Replies
    1. can you tell me how to check for backlinks ??? Ollupdate thanks ....

      Delete