Tuesday 9 August 2016

Windows 10 Me System (By Default Apps) Ko Kaam Me Leta Hai Use Kaise Change Kare

Hi Friends, Me aaj windows 10 ki tips dene wala hu sabse pahale me ek baat bataa dena chahataa hu ki windows 8.1 or windows 10 me same method hai mene dono me try kiya hai. humara aaj ka hindi me topic kuch [Windows 10 Me System (By Default Apps) Ko Kaam Me Leta Hai Use Kaise Change Kare - Change the Default Apps Windows 10 Uses by Default in hindi] is tarah hai. jab pahali bar aap kisi bhi type ki file ko launch karate hai toh windows 10 aam tor par prompt (sanket) deta hai ki aap select kare apanaa app ke sath "open with..." par click kare, par kabhi-kabhi ye "open with..." screen par dikhai nahi detaa or system direct by default apps ko open kar deta hai.

Windows Me Screen Lock Ko Kaise Disable Kare.
Chrome Ke Extension Ko Directly Download Kaise Kare Bina Install Kiye.

Windows 8.1/10 dono me ye problem aa sakati hai, aapane sayad kosis bhi ki hogi ki by default apps ko change karane ke liye aapane apps ko un-install kar ke re-install kiya hoga par toh bhi by default apps change nahi hoti hai. toh ye aapke best tutorial hoga. kyoki me jaanta hu ki hum log apane jivan me koi bhi kaam ho jaldi se jaldi karane ki kosis karate hai, jabh hum new windows 10 use karte hai toh example: koi web browser chalaao wo jarur puchega ki konsa by default app rakhanaa hai hum log fast operate karte-karte galti se (accidentally) dusra app by default set kar dete hai. fir windows aage se aapse puchta nahi hai ki default app konsi chlayi jaye. isliye humari problem create ho jaati hai. or isko fix kaise kare me aaj bataane jaa raha hu.

Microsoft Edge Browser Me Block Ads Kaise Lagaaye.
Windows 10 Me File Explorer Ko Tabs Me Kaise Badale.

Change Default App - Windows 10 in Hindi

  1. Access the Default Apps Menu: Suru karane ke liye, main windows 10 settings menu open kare. yaha se, "Default Apps" par click kare. fir left-hand pane menu me apko sabh by default apps mil jayenge.
    change-default-apps-windows-10-uses-by-default
  2. Set Default Apps Any Type Of App: right-side me apko saare by default apps dikh jayenge bas apko itna hi karanaa hai ki jo app aap chahate ho ki har bar wo hi app open ho. example uppar di gayi image me Music Player Title me apko "zoom player" dikhega toh aap jabhi bhi music, video jo multi-media file hai wo "zoom" me play hoyega or aap chahate hai ki vlc player me chlana chahata hu har baar toh apko bas itna hi karanaa hai ki zoom player par click karanaa hai apke pass sare player jo dale hai wo sabhi list me dikha dega or aap uske anusaar apana player by default kar skte ho. bas apko application ko select karanaa hai. or aage se us application jo format support hota hai wo har bar ussi application me run hoga.
    change-default-apps-windows-10-uses-by-default
I Hope Ye Humara Article Pasand Aya Hoga Or Agar Apke Kuch Problem Aati Hai Toh Hume Comment Box Me Comment Kare, Please Like, Share And Subscribe Karanaa Na Bhule Kyoki Hum Chaahate Hai Ki Aap Humse Connect Rahe Or Humare Article Se Miss Na Hoye Hum Esse Hi Daily Article Hindi Me Publish Karate Rahenge. Take Care And Stay Connected. Enjoy !!!

No comments:

Post a Comment