Tuesday 9 August 2016

Website/Blog Se Paise Kaise Kamaye (5+ Tarike) Part-1

Website/Blog Se Paise Kaise Kamaye (5+ Tarike)
Har koi blogging ke baare me bataa rahe hai, kyoki blogging platform essa rasta hai jisse aap online paise kama sakte hai. WordPress ya Blogger platform se aap website/blog banaa sakte hai or apna content create kar sakte hai. halaki yah abh pahale se kahi jyada important ho gya hai ki blog se lifetime paise kaise kamaye. me janta hu ki jyadatar logo ko ye blogging samaj nahi ata hai, par me jo btaunga apko jarur help milegi. ha ek or baat kayi blog users hai jo ek bar me content ko create karte hai or fir kabhi update ya content ko kabhi bhi promotion nahi karte hai ye galat hai apko agar pahachan banani hai toh apko promotion or daily website ko update karta rahanaa hoga.
Aaj lacko se bhi jyada website aa chuki hai internet par iska matlab hai ki bahut competition bad gaya hai apko na kewal content ko acha likanaa hoga yaha tak ki apna best bhi dena hoga jisse aap apne visitors me improvement bhi dekhoge. apna best dene se aap google ke page par top me aa jaoge or jo bhi apke related website hai wo sabhi aapse niche rahegi. achi ranking ke karan aap search result me top par aoge or sath-hi-sath blog se paise bhi banaoge. ha yah baat hai ki yah easy nahi hai par apko hardworking karani padegi ek essa nichit time dena hoga jisme aap santi se apna blog me content banaa sako.
internet wese bhi bahut teji se bad raha hai aap bhi apni site bana le or apna new business suru kar de, abh jyada wait na kare kyoki competition badta jaa raha hai. agar aap late ho gye blogging me aane me toh apko or bhi jyada waqt lag sakta hai ranking me aane me.

Apne Blog Ke Sath Paise Kamane Ke Liye 5 Kargar Tarike:

Apne Blog Ke Sath Paise Kamane Ke Liye 5 Kargar Tarike:
Blogging me laksay hi yahi banaya jata hai ki content ko banate raho or sath-sath promotion bhi karte raho. agar apko ache paise banane hai toh apko achi jagah dundani hogi jaha se aap ache paise bana pao. me wo jagah btaunga ya wo rasta btaunga jisse aap kama sakoge. chaliye niche diye gaye methods ko follow kare.
  1. Google Adsense - Mene pahale bta diya hai pichale post me google adsense kya hai, toh bhi me chota sa adsense ke baare me introduction kar deta hu. google adsense ek advertisement program hai jisme aap apne website ke sath is program me join ho sakte ho or adsense ke ads apke website me lagenge jaise-jaise apke visitor badenge apko waise-waise paise milanaa suru ho jayenge or agar apke site se click hote hai toh uska bhi commission milega. Yah ek simple rasta hai jisse aap apne blog/website ke sath online paise kama sakte hai par apko pahale google adsense program me judna hoga.
  2. Direct Banner Sales - Direct banner ads ek acha option hai paise kamane ke liye. par iske liye apki website/blog ka traffic acha hona chahiye. jisse aap online direct banners ads selling kar sako or har selling par apko payment milta rahega advertiser dwara jaise-jaise apke blog dwara selling hogi apko waise-waise paise milane suru hoge.
  3. Contextual Advertising - Yah google adsense ke jesa hi hota hai, contextual advertising text serve karange - kaise? advertiser company dwara text ads display karwayenge apni site ke content me. apne dekha hi hoga ki bahut se site par box size ka advertisement right-side me display hota hai. ha toh waha contextual advertising company dwara kiya jaa raha hai. bas apko itna hi karana hai ki contextual company ke code lagane hai or kuch apne blog me space dena hai jaha wo ads display ho jaye. fir apki earning start ho jayegi.
  4. Affiliate Marketing - Affiliate Marketing ke baare me toh sabhi ne suna hoga, nahi suna hai toh btata hu affiliate marketing ek referring program hota hai matlab ki samaj lo aap koi company jaise flipkart, paytm and amazon me affiliate program me jud gaye ho. bas apko itna hi karana hai ki esse customer ke paas products pahuchao jo interested ho buy karane me jaise-jaise apke link se purchasing hogi waise-waise apko uska commission milega. yah jyada asaani se blog/website se kiya jaa sakta hai kyoki blog me bahut visitor aate hai or humara blog pure world me chalta hai. koi bhi kahi se bhi apke affiliate link se purchase kar sakta hai jaise hi purchasing ho jati hai uska commission apko affiliate company se milega.
  5. Get Sponsored - Sabse pahali baat blog par nirbar karta hai ki apki blog ke content kis type ka hai. agar aap us content me ranking me hai matlab ki us content me king ho internet par toh apko direct ads sales mil sakte hai company dwara. aapne dekha hi hoga ki bahut se log advertisement page banate hai wo isliye banate hai ki blog ke owner se baat kar ke apna sponsor posts, ads and link etc... lagaa sake par iske badale me paise liya jata hai isliye isko sponsors ads bhi kahate hai. par kuch waqt ke liye lgaya jata hai jaise ki 1 month ya 1 year ho sakta hai lifetime bhi wo nirbar apke uppar hai aap kitane waqt tak lgana chahate hai or us waqt ke kitane paise leya jaye. me ek example deta hu samaj lo koi company aapse contact karti hai or apko kahati hai humara product ko review karo toh aap unse paise maang sakte ho us review ke matlab ki sponsored ke jyadatar company dwara pahale hi apko offer kar degi ki apko hum itne rupee denge aap humara article sponsor karo. ye best tarika hai kamane ka par apko apne blog ko ranking lana padega.
I Hope Apko Humara Ye Article Pasand Aya Hoga. Toh Please Like And Share Karana Na Bhule Or Aap Hume Follow Bhi Kar Sakte Hai Facebook, Twitter, Gmail, Pinterest Etc...

Take Care And Enjoy !!!

No comments:

Post a Comment