Sunday 14 August 2016

Wordpress Themes Kaise Install Kare

Hey Dosto, Aaj iss article ke jariye se hum janenge ki wordpress me themes ko kaise install karte hai. jo users first time wordpress platform par aaye hai unke liye ye article madad gaar sabit hoga. me aaj 2-methods btaunga jisse aap apne wordpress blog/website ke themes ko badal (change) kar sakte ho. apko bataa du ki iske liye koi other skill ki jarurat nahi hai jaise ki (like: html, css, php, sql, other coding etc...) agar aapko coding nahi aati toh koi baat nahi kyoki aaj-kal wordpress official themes bhi mil jati hai or wordpress premium themes bhi mil jati hai.
WordPress blog/website design or manage karanaa bahut easy ho gya hai kyoki inke themes or plugin apko google par mil jayenge free/premium dono tarah ke dikh jayenge. pahali baat apko ye tay karana hoga ki muje konsi category ki themes chahiye like - tech, gym, health, news etc... ye select hone ke baad apko ye dyaan rakhanaa hoga ki theme jyada load time na khaye or dekhane me clear bhi ho yaha tak ki design essi ho jisse aap or users dono ko pasand aa jaye kyoki visitor ko acha impression dena bahut jaruri hai or help karana bhi jitna jyada apka presentation acha hoga visitor apke website me jyada-se-jyada time bitayega or sath-hi-sath visitor increase bhi honge. Chaliye me point par aata hu niche mene two-methods diye hai wordpress ke themes install karane ke follow kare.

Wordpress Me Theme Directory Me Se Official Theme Kaise Install Kare:

Ye method bahut aasaan hai jisse wordpress theme ko install kiya jaa sakta hai. simply apko search bar ka fucation ko kaam me lena hai or apni best theme ko dundna hai wo kaise niche steps ko follow kare.
  1. Dashboard me "Appearance" option milega uss par click kare >> "Themes" par click kare >> fir top-right-side "search bar" milega usme apna theme name search kare nahi toh aap filter bhi kar sakte hai menu bar me "Feature Filter" milega uss par click kare.
  2. How-to-Install-WordPress-Themes-1
    How-to-Install-WordPress-Themes-2
  3. Fir apko category lists milegi usme bahut saare section ke name honge apko apne section ko select karana hai or apply karana hai. Fir, apko koi bhi apne pasand ki ek theme install karani hai "Install" button par click kar ke.
  4. How-to-Install-WordPress-Themes-3
  5. Fir Apko ek new page appear hoga jisme "Activate" namak link milegi us par click karana hai. activate hone ke baad apke blog/website me theme apply ho jayegi.
  6. How-to-Install-WordPress-Themes-4
    How-to-Install-WordPress-Themes-5

Downloaded WordPress Theme Ko Kaise Install Kare:

Yah dusra rasta hai jisse aap apne wordpress blog par theme lagaa sakte hai free/premium dono hi install ho jayenge. agar apke paas purchase ki huwi theme hai apne computer me or agar apke paas free theme hai apne computer me toh aap upload kar ke wordpress blog par lagaa sakte ho. dyaan rahe ki jo theme ki file hoti hai wo ".zip" file me honi chahiye.
  1. Right-Side Dashboard panel me Appearance >> Themes >> Install Themes me jana hai. top me "Upload" naamak link milega uss par click kare.
  2. How-to-Install-WordPress-Themes-6
  3. Fir "Choose File" button par click kare, or apne wordpress theme file ko local disk me se select kare fir "Install Now" button par click kare.
  4. How-to-Install-WordPress-Themes-6
  5. Installing complete hone ke baad uss theme ko "Activate" karana hai. agar is process ke doran koi problem aati hai toh apko jiski theme hai usse contact kar le.
Asha hai ki apko post pasand aya hoga. humare article ko like and share karanaa na bhule or aap hume follow bhi kar sakte hai like facebook, gmail, twitter, pinterest etc... par agar wordpress me aap koi bhi problem face karte ho toh hume comment box me comment likh kar post kar de hum apki help jarur karenge.

No comments:

Post a Comment