Tuesday 9 August 2016

Windows 10 Me OneDrive Application Ko Uninstall Kaise Kare

Windows 10 Me OneDrive Application Ko Uninstall Kaise Kare
OneDrive application windows 10 ke sath hi installed aata hai. Agar aap ek microsoft account ke sath windows 10 ko chlate ho toh apko pataa hona chahiye ki Onedrive enable rahata hai or apka internet kata rahata hai. yadi aap OneDrive kaam me nahi lete, or yah bhi nahi chahate ki onedrive application apke windows ke background me chale toh apko isko uninstall/disable karana hoga.
Sabse badi baat microsoft OneDrive ko remove karane ke liye asan tarika pradaan nahi karta hai, par aap isse disable ya fir windows 10 me manually uninstall kar sakte hai.Yadi aap windows 10 pro ya other version chla rahe ho toh ye method perfectly work karega. yadi aap windows 10 home version chalaa rahe ho toh ye method kaam nahi karega. chaliye niche diye gaye steps ko follow kare.

How To completely uninstall OneDrive Application (in hindi):

  1. Firstly Apko "Start" me jake "Command Prompt / cmd" type karana hai fir command prompt ke uppar right-click kar ke administrator mode me chlana hai.
  2. Command Prompt - Right-Click To Administrator-compressed
  3. Command Prompt (Admin) window open hogi usme apko "taskkill /f /im OneDrive.exe" type karana hai or enter marna hai. jo ki onedrive application background me running application ko stop kar dega.
  4. Taskkill OneDrive Application
  5. Abh baari aati hai uninstall karane ki ye method windows 10 32bit users ke liye hai. OneDrive Application ko uninstall karane ke liye "%SystemRoot%\System32\OneDriveSetup.exe /uninstall" ye type kare.
  6. OneDrive Setup Uninstall (Windows 10 32Bit Users)
  7. Ye method windows 10 64bit users ke liye hai. OneDrive Application ko uninstall karane ke liye "%SystemRoot%\SysWOW64\OneDriveSetup.exe /uninstall" ye type kare.
    OneDrive Setup Uninstall (Windows 10 64Bit Users)
Confimation dialog or progress bar hone ke baad aap aage se OneDrive application se pareshan nahi honge. or aap chaho toh search kar sakte ho OneDrive likh ke result me apko "the app will no longer be found" milega. par onedrive me jo bhi folder, files, kuch item se wo delete nahi hoge ye sirf apke pc se uninstall hoga.

Take Care & Enjoy !!!

No comments:

Post a Comment