Tuesday 9 August 2016

Black Hat SEO Kya Hai | Full Guide

Black Hat SEO Kya Hai? | Full Guide
Adikhtar log apne website par focused kar rahe hai ki search engines me laane ke liye kya kiya jaye or search engines dwara koi bhi page/post ko penalized na ho us par bhi dyaan de rahe hai. apne users ko specific information content ko khojane ke liye asani dene ki kosis kar hai. isee process ko search engine optimization ke rup me jana jata hai. lekin, aise search engine optimization techniques bhi hai jisse ranking payi jaa sakti hai par isme fayda bhi hai or nuksan bhi. lekin in technique se bacha jana chahiye.
Search Engine Optimization techniques ko "Black Hat Seo" ke rup me kaha gya hai. kyoki ek anaitik tarike se higher ranking haasil karane ke liye upayog kiya jata hai. Black Hat SEO Techniques aam tor par niche diye gaye laksan ko saamil kiya gya hai:
  1. Search Engine ke rules or regulations ko todana.
  2. Website ko create kar ke seo techniques ka upayog se poor user experience dena.
  3. Anaitik present karana apne content ko different visual or non-visual way se or search engine me indexing karwana.
In black hat SEO practices se vaastav me ranking ke mamale me short-term time lagta hai or laabh bhi milta hai. leking yadi koi seo techniques ko upayog karta hai toh wo apne website ko risk me daal raha hai jabh search engines ko pata chal gaya ki seo techniques use ki jaa rahi hai toh ve website ko penalized kar denge jisse sabhse bada impact traffic pe padega or (SERP) search engine results ke ranking par bhi padega. chaliye niche kuch seo techniques se rubaaru karwata hu jisse aap upayog na kare or isse ho sake jitna bachane ki kosis kare.

SEO Techniques to avoid in Hindi:

  1. Keyword Stuffing - Keywords ki long list packing bana ke apne website me kaam me lena search engines me jaldi aane ke liye keywords ko jyada-se-jyada use me lena. isse keyword stuffing kahate hai. par baad me site ko search engines dwara penalized kiya jata hai.
  2. Invisible Texts - Invisible text kya hai? basically yah seo technique hai jisme create kiye jate hai keywords ki list ko or un keywords ko white text me likha jata hai ya fir white background me kiya jata hai. jisse attracting jyada ho jati hai search engine spiders ke liye. par yah sahi nahi hai users ko poor experience milta hai or wo jaldi-se-jaldi website ko close kar deta hai.
  3. Doorway Pages - Doorway page basically "fake" page hota hai jo users ko kabhi nahi dikhata. yah puri tarah se search engine spiders ke liye kiya jata hai. or yaha ek trick hai jisse indexing ki jati hai higher ranking me ane ke liye. "fake" html page me keywords or phrases par focus kiya jata hai programmers dwara. or website me continues improvement aata rahata hai. isliye isse doorway pages kaha jata hai.
Yah sabhi anaitik, asthaayee SEO Line hai jisse tempt kar ke achi ranking payi jaa sakti hai wo bhi kuch samay me hi, or yah tricks aaj bhi kaam karti hai. par dyaan rahe ki ye kuch waqt tak hi kaam karti hai jaise hi search engine ko pata chala ussi time se apki website ko penalty lagani start ho jayegi. jisse ho sakta hai apki saari traffic band ho jaye or ranking bhi chali jaye. or isse website par banned bhi lag sakta hai. isliye aap search engines ke guidelines ko follow kare white hat seo ko kaam me le. or webmasters ke rules bhi dyaan me rakhe.
Asha Hai Ki Apko Humara Post Pad Ke Bahut Help Mili Hogi Or Pasand Bhi Aya Hoga Please Isse Share Or Like Karana Na Buliye. Aap Hume Follow Bhi Kar Sakte Hai FaceBook, Twitter, Pintereset, Gmail etc... Par.
Take Care & Enjoy !!!

No comments:

Post a Comment