Tuesday 9 August 2016

Youtube Channel Kaise Banaye

Hi Friends, Aaj me apko youtube par channel kaise banate hai uske baare me btane wala hu. agar aap youtube se paise kamane ke liye channel banaa rahe hai toh apko kuch baate ka pataa hona jaruri hai, youtube par apna business start karne se pahale kuch baate ka dyaan de. or youtube video banaane ke liye kya-kya chahiye hota hai wo bhi dekh lena jaruri hai agar apko youtube par apni pahachaan banaani hai toh or apne channel ko top me lana hai toh, or mene abhi kuch samay pahale ek article banaya tha jisme youtube ke baare me or kya jarurat hoti hai sabh btaya hai.
YouTube par account banaane ki jarurat nahi hoti hai kyoki ye humare gmail acccount se link ho jata hai. youtube par channel banate samay apko ek acha naam rakhna hoga or memorable mtlab ki yaad rakhne wala naam, me ye kyo bataa rahaa hu isliye ki at-pate se naam logo ko yaad nahi rahate hai isliye aap acha naam pahale hi soch fir hi channel ka naam rakhe.

Create A Personal Channel With Your Name:

Youtube Channel ko banaane se pahale apko Gmail account ki madad se youtube account ko sign in karanaa hoga, or aapko me ye bhi btaunga ki youtube pe video ko sahi se kaise upload kare or us video ko optimize kaise kare mtalab ki youtube apko jaldi se jaldi youtube or google search engine me fastly kaise appear kare jisse apke video ko jyada se jyada views mile or aap paise kama paye. baaki mene niche full steps btaye unko follow kijiye.
  1. Youtube par login karane ke baad apko top left-side me "Menu" Hai us par click karane ke baad ek list wahi pe khulegi jisme "My Channel" option likha huwa milega us par click kare.
  2. Youtube At Click On My Channel
  3. My Channel par click karane ke baad ek new page open hoga jo aapse puchega ki apke naye channel ka naam de or "Create Channel" button par click kare, jo ki mene niche image di hai usko dekhe apko samaj aa jayega karanaa kya hai.
  4. Youtube - Create Channel Name
  5. Youtube Channel banane ke baad apne channel ka description de ki ye channel kyo banaaya gayaa hai or kis tarah ki jankari di jayegi. me btata hu ye kiya kaha se jata hai apko apne channel par jake uddar hi apko "+ Channel description" button milega us par click kare, fir channel description ka ek box open hoga usme details se likh de or "Done" Button Par Click Kare. agar nahi samaj aya ho toh aap niche diye gaye image ko follow kare.
  6. Youtube Create Channel Description
    Youtube Channel Description - Click On Done Button]
  7. Ye sabh karane ke baad apko uppar "upload" button milega us par click kare. ek new page appear hoga usme "Select files to upload" likha milega uppar click kare or apnaa video select kare fir uploading suru ho jayegi uploading hone ke baad uppar righ-side me "Publish" button aa jayega uss par click kare fir apnaa video successfully upload ho jayega or apko youtube dwaraa link mil jayegi aap kahi bhi share kar skte hai.
  8. Click On Upload Button -Youtube Video
    Wait For Uploading Process -Youtube Video
    Click On Publish - Youtube Video
Asha Hai Ki Aapko Humara Ye Article Apko Pasand Ayega Kyoki Humne Youtube Channel Banane Se Upload Karane Tak Btaya Or Step By Step Image Ke Sath Btaya Hai. Agar Apko Koi Swaal Puchna Hai Toh Be Jijak Aap Swaal Comment Box Me Comment Kare Hum Apki Help Jarur Karenge, Or Ye Post Like, Share Jarur Kariyega. Humko Follow Karane Ke Liye Aap Email Dwaraa Subscribe Bhi Kar Skte Hai. Take Care. Enjoy!!!

No comments:

Post a Comment