Tuesday 9 August 2016

WordPress Ke Themes Ko Customize Kaise Kare

Hi Guys, Aaj me jo guide dene jaa raha hu wo kuch is tarah ka hai - wordpress me theme ko customization kaise kiya jaye. kai bloggers ko (by default) themes pasand nahi aati hai or ho sakta hai ki us theme me kuch chije pasand nahi aati (like: social widgets), yah bhi ho sakta hai ki apne code ko implement kare kuch bhi ho sakta hai par apko ye pataa hona chahiye ki ye saare experiment kiya kaha jata hai.
Wordpress ke theme ko customize karana saral hi hai. theme ke title, tagline, front page displays, a static page etc... ko edit or modify kar sakte hai. par customize karane se pahale backup jarur le kyoki jis type ka code ya implement kar rahe ho wo theme me support na kare ye bhi ho sakta hai or wapas restore na kar paa rahe ho toh ye bhi ho sakta hai aap old version theme kho sakte ho isliye koi bhi theme par experiment karane se pahale backup jarur le. kuch theme essi hoti hai ki pahale se hi custom ache se kiya huwa hota hai or kuch me nahi hota, chaliye me properly steps by steps btaunga jisse wordpress theme ko customize karane me problem nahi ayegi.

Accessing the WordPress Customization Page in Hindi:

  1. Chaliye start karte hai, right-side Dashboard panel me "Appearance" par click karana hai >> fir "Themes" par click karana hai.
  2. How-to-Customize-the-WordPress-Dashboard-1
  3. Fir wordpress themes ki list open hogi jisme se apke pasand wali theme ko choose kar ke "Customize" button par click karana hai.
  4. How-to-Customize-the-WordPress-Dashboard-2
  5. Fir aap apne hisab se theme ko customize kar sakte hai or agar apne theme ko kharida hai toh apke paas theme ke saare documents mile honge usme sabh explain kiya huwa hoga ki kaise custom kiya jaye or kaise add widget kiya jaye or kaise delete kiya jaye etc....

How to Modify Your WordPress Title and Tagline in Hindi:

Wordpress me website ke title or tagline ko modifying karana hai toh hum btayenge issi article me or ha apko pataa hai ki title and tagline dene se kya hota hai? isse apki website ki rank me increase hota hai matlab ki search engine me properly website ko show karta hai isse visitor bhi bad jate hai.
  • Start karane ke liye, edit feature ke liye wapas apko theme ko choose karana hai or edit karana hai then "Site Title & Tagline" settings ko adjust karana hai fir "Save & Publish" button par click karana hai that solve.
    How-to-Customize-the-WordPress-Dashboard-3

How to Edit the Main Page of Your Blog in Hindi:

  • Agar apke wordpress blog ke main page ko edit karana hai toh uppar step diye the edit ke wo hi process karte huwe apko "Front Page Displays" dropdown menu par click karana hai fir apko 2-options milenge jo ki is prakaar hai (Your Latest Posts Or A Static Page).
How-to-Customize-the-WordPress-Dashboard-4
  • Apne hisab se pasand kare or click "Save & Publish" button par click kar de.
How-to-Customize-the-WordPress-Dashboard-5


Aaj mene jo bataya hai wo newbies ke liye hai agar apko pasand aye toh like jarur kariyega, agar koi problem samne aati hai toh comment box me comment kariyega hum apke comment ka intajaar kar rahe hai. aap hume follow bhi kar sakte hai hai facebook, twitter, pinterest, gmail etc.

Take Care Enjoy!!!

No comments:

Post a Comment